aa jaana
fazā meñ dard-āgīñ giit lahrā.e to aa jaanā
sukūt-e-shab meñ koī aah tharrā.e to aa jaanā
jahāñ kā zarra zarra yaas barsā.e to aa jaanā
dar-o-dīvār par andoh chhā jaa.e to aa jaanā
samajh lenā koī ro ro ke tujh ko yaad kartā hai
samajh lenā koī ġham kā jahāñ ābād kartā hai
koī taqdīr kā maarā huā fariyād kartā hai
tirī āñkhoñ meñ ashk-e-ġham utar aa.e to aa jaanā
diloñ ko gudgudā.e jab tarannum ābshāroñ kā
ghaTā barsāt kī jab chuum le muñh kohsāroñ kā
mulāqātoñ ke jab din hoñ zamāna ho bahāroñ kā
bahār-e-gul mulāqātoñ pe uksā.e to aa jaanā
zamāna mushkiloñ ke jaal phailā.e to phailā.e
qadam baḌhte raheñ be-dard duniyā laakh bahkā.e
samajhte haiñ kahīñ dīvāngān-e-ishq samjhā.e
tire hoñToñ pe merā naam aa jaa.e to aa jaanā
jhaḌī barsāt kī jab aag tan man meñ lagātī ho
guloñ ko bulbul-e-nāshād hāl-e-dil sunātī ho
koī birhan kisī kī yaad meñ aañsū bahātī ho
agar aise meñ terā dil dhaḌak jaa.e to aa jaanā
faza mein dard-agin git lahrae to aa jaana
sukut-e-shab mein koi aah tharrae to aa jaana
jahan ka zarra zarra yas barsae to aa jaana
dar-o-diwar par andoh chha jae to aa jaana
samajh lena koi ro ro ke tujh ko yaad karta hai
samajh lena koi gham ka jahan aabaad karta hai
koi taqdir ka mara hua fariyaad karta hai
teri aankhon mein ashk-e-gham utar aae to aa jaana
dilon ko gudgudae jab tarannum aabshaaron ka
ghaTa barsat ki jab chum le munh kohsaron ka
mulaqaton ke jab din hon zamana ho bahaaron ka
bahaar-e-gul mulaqaton pe uksae to aa jaana
zamana mushkilon ke jal phailae to phailae
qadam baDhte rahen be-dard duniya lakh bahkae
samajhte hain kahin diwangan-e-ishq samjhae
tere honTon pe mera nam aa jae to aa jaana
jhaDi barsat ki jab aag tan man mein lagati ho
gulon ko bulbul-e-nashad haal-e-dil sunati ho
koi birhan kisi ki yaad mein aansu bahati ho
agar aise mein tera dil dhaDak jae to aa jaana
- Book : Yad aaunga (Pg. 162)
- Author : Rajindr Nath Raj
- Publication : Print Well Industrial Focal Point, Amritsar (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.