hind ke jaan-baz sipahi
sar-ba-kaf hind ke jāñ-bāz-e-vatan laḌte haiñ
teġh-e-nau le saf-e-dushman meñ ghuse paḌte haiñ
ek khāte haiñ to do muñh pe vahīñ jaḌte haiñ
hashr kar dete haiñ barpā ye jahāñ aḌte haiñ
josh meñ aate haiñ dariyā kī ravānī kī tarah
ḳhuun dushman kā bahā dete haiñ paanī kī tarah
jab baḌhāte haiñ qadam pīchhe phir haTte hī nahīñ
hausle un ke jo baḌhte haiñ to ghaTte hī nahīñ
dam-e-paikār harīfoñ se ye kaTte hī nahīñ
ulTe qadmoñ pe bilā fat.h palaTte hī nahīñ
hech haiñ un ke liye āhanī dīvāreñ bhī
rok saktī nahīñ faulād kī dīvāreñ bhī
jazba-e-hubb-e-vatan dil meñ nihāñ rakhte haiñ
misl-e-ḳhūñ josh ye rag rag meñ ravāñ rakhte haiñ
sar hathelī pe to qabze meñ sināñ rakhte haiñ
aañkh jhapkāne kī bhī taab kahāñ rakhte haiñ
niklī hī paḌtī haiñ ḳhud myaan se teġheñ un kī
DhūñDhtī apnā muqābil haiñ nigāheñ un kī
khiñch ke dushman se gale teġh-e-ravāñ miltī hai
dam dafnā karne ko ġhārat-gar-e-jāñ miltī hai
ḳhuun kā bahtā hai dariyā ye jahāñ miltī hai
maut kī god meñ dushman ko amaañ miltī hai
teġh ke ghaaT utartā hai muqābil un kā
ran meñ paanī bhī nahīñ māñgtā bismil un kā
vaar bhūle se bhī paḌtā nahīñ ochhā un kā
haath hotā hai zabāñ kī tarah sachchā un kā
jis ne dekhā kabhī muñh dekhā na pīchhā un kā
maut bhī māntī hai razm meñ lohā un kā
ran meñ biphre hue sheroñ kī tarah laḌte haiñ
saaf kar dete haiñ jis saf pe ye jā paḌte haiñ
muñh pe talvār kī chaḌhte haiñ sipar kī sūrat
teġh ke phal ko ye khāte haiñ samar kī sūrat
hausle aur baḌhātī hai ḳhatar kī sūrat
maut meñ bhī nazar aatī hai zafar kī sūrat
chhalnī ho jaatā hai zaḳhmoñ se agar tan un kā
teġh ke saaya meñ ban jaatā hai madfan un kā
razm ko bazm samajhte haiñ ye mardā-r-vatan
shāhid-e-marg hai un ke liye chauthī kī dulhan
ye vo sar-bāz haiñ rakhte haiñ baham teġh o kafan
haath dikhlāte haiñ jab paḌtā hai ghamsān kā ran
un kī shamshīr-e-do-paikar pe zafar sadqe hai
un kā bartāniya ke naam pe sar sadqe hai
sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan laDte hain
tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse paDte hain
ek khate hain to do munh pe wahin jaDte hain
hashr kar dete hain barpa ye jahan aDte hain
josh mein aate hain dariya ki rawani ki tarah
KHun dushman ka baha dete hain pani ki tarah
jab baDhate hain qadam pichhe phir haTte hi nahin
hausle un ke jo baDhte hain to ghaTte hi nahin
dam-e-paikar harifon se ye kaTte hi nahin
ulTe qadmon pe bila fath palaTte hi nahin
hech hain un ke liye aahani diwaren bhi
rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi
jazba-e-hubb-e-watan dil mein nihan rakhte hain
misl-e-KHun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain
sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain
aankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain
nikli hi paDti hain KHud myan se teghen un ki
DhunDhti apna muqabil hain nigahen un ki
khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai
dam dafna karne ko ghaarat-gar-e-jaan milti hai
KHun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai
maut ki god mein dushman ko aman milti hai
tegh ke ghaT utarta hai muqabil un ka
ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka
war bhule se bhi paDta nahin ochha un ka
hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka
jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka
maut bhi manti hai razm mein loha un ka
ran mein biphre hue sheron ki tarah laDte hain
saf kar dete hain jis saf pe ye ja paDte hain
munh pe talwar ki chaDhte hain sipar ki surat
tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat
hausle aur baDhati hai KHatar ki surat
maut mein bhi nazar aati hai zafar ki surat
chhalni ho jata hai zaKHmon se agar tan un ka
tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka
razm ko bazm samajhte hain ye marda-r-watan
shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan
ye wo sar-baz hain rakhte hain baham tegh o kafan
hath dikhlate hain jab paDta hai ghamsan ka ran
un ki shamshir-e-do-paikar pe zafar sadqe hai
un ka bartaniya ke nam pe sar sadqe hai
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 546)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.