saarā din maiñ ḳhuun meñ lat-pat rahtā huuñ
saare din meñ suukh suukh ke kaalā paḌ jaatā hai ḳhuun
papḌī sī jam jaatī hai
khurach khurach ke nāḳhūnoñ se
chamḌī chhilne lagtī hai
naak meñ ḳhuun kī kachchī bū
aur kapḌoñ par kuchh kaale kaale chakte se rah jaate haiñ
roz sub.h aḳhbār mire ghar
ḳhuun meñ lat-pat aatā hai
sara din main KHun mein lat-pat rahta hun
sare din mein sukh sukh ke kala paD jata hai KHun
papDi si jam jati hai
khurach khurach ke naKHunon se
chamDi chhilne lagti hai
nak mein KHun ki kachchi bu
aur kapDon par kuchh kale kale chakte se rah jate hain
roz subh aKHbar mere ghar
KHun mein lat-pat aata hai
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 16)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.