garmi
raat ab siyānī ho ga.ī hai
guḌiyā kho jaa.e
to rotī nahīñ!
buḳhār meñ mubtalā
būḌhe āsamān meñ
itnī bhī sakat nahīñ
ki uTh kar vazū kare
sūraj ḳhūñ-ḳhvār bille kī tarah
ek ek chiiz par
apne nāḳhun tez kartā hai!
havā kā jhoñkā
chūhe kī mānind
bil se bāhar aate Dartā hai!
vaqt aaj kal
dozaḳh ke aas paas se guzartā hai!
raat ab siyani ho gai hai
guDiya kho jae
to roti nahin!
buKHar mein mubtala
buDhe aasaman mein
itni bhi sakat nahin
ki uTh kar wazu kare
suraj KHun-KHwar bille ki tarah
ek ek chiz par
apne naKHun tez karta hai!
hawa ka jhonka
chuhe ki manind
bil se bahar aate Darta hai!
waqt aaj kal
dozaKH ke aas pas se guzarta hai!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 392)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.