bint-e-himala
aah! gañgā ye hasīñ paikar-e-billor tirā
terī har mauj-e-ravāñ jalva-e-maġhrūr tirā
jaur-e-maġhrib se magar dil hai bahut chuur tirā
jhāñktā hai tire girdāb se nāsūr tirā
zulm Dhaa.e haiñ safīnoñ ne sitamgāroñ ke
zaḳhm ab tak tire siine pe haiñ patvāroñ ke
mahv rahte the sitāre tirī mai piine meñ
chāñd muñh dekhtā thā tere hī ā.īne meñ
ḳhalvat-e-mahr daraḳhshāñ thī tire siine meñ
terī tābāniyāñ aatī na thiiñ taḳhmīne meñ
aaj rotī hai magar terī javānī tujh ko
khā gayā aa ke yahāñ 'thames' kā paanī tujh ko
aah ai koh-e-himāla ke ġhurūr-e-sayyāl
tere dāman pe kabhī baiThī na thī gard-e-malāl
muñh tirā poñchhtā thā chāñd kā sīmīñ rūmāl
zaḳhm siine pe liye aaj haiñ dhāre tere
uf kahāñ Duub ga.e chāñd sitāre tere
reg-e-dozaḳh ko chhupā.e hai qabā ke andar
haul-nāk aaj hai kitnā ye dahaktā manzar
shaam hī shaam nazar aatī hai kyuuñ sāhil par?
kyuuñ tirī maujoñ se chhante nahīñ anvār-e-sahar?
raushnī kyuuñ huī jaatī hai gurezāñ tujh se
kyuuñ añdheroñ ke haiñ lipTe hue tūfāñ tujh se
aaj sāhil pe nazar aatī hai jaltī huī aag
ādamiyyat kā sulagtā hai havāoñ meñ suhāg
aaj hai sāz-e-siyāsat kā bhayānak sā raag
phan uThā.e hue bal khāte haiñ sho.aloñ ke naag
aaj insān ko Dastī haiñ havā.eñ terī
zahr se kitnī haiñ labrez fazā.eñ terī
aa.ī hai thames se ik mauj-e-ravāñ gaatī huī
tujh ko āzādī ke paiġhām se bahlātī huī
ruuh mai-ḳhāna liye shauq ko bahkātī huī
naaz kartī huī hañstī huī iThlātī huī
laakh uljhā kareñ zulfoñ meñ ulajhne vaale
is ke ishvoñ ko samajhte haiñ samajhne vaale
lekin ai bint-e-himāla tirī azmat kī qasam
sail ke sāñche meñ Dhālī huī rif.at kī qasam
tere jalvoñ kī qasam, terī latāfat kī qasam
terī maujoñ se ubhartī huī himmat kī qasam
ab tirī āñkhoñ ko namnāk na hone deñge
dāman-e-nāz tirā chaak na hone deñge
aah! ganga ye hasin paikar-e-billor tera
teri har mauj-e-rawan jalwa-e-maghrur tera
jaur-e-maghrib se magar dil hai bahut chur tera
jhankta hai tere girdab se nasur tera
zulm Dhae hain safinon ne sitamgaron ke
zaKHm ab tak tere sine pe hain patwaron ke
mahw rahte the sitare teri mai pine mein
chand munh dekhta tha tere hi aaine mein
KHalwat-e-mahr daraKHshan thi tere sine mein
teri tabaniyan aati na thin taKHmine mein
aaj roti hai magar teri jawani tujh ko
kha gaya aa ke yahan 'thames' ka pani tujh ko
aah ai koh-e-himala ke ghurur-e-sayyal
tere daman pe kabhi baiThi na thi gard-e-malal
munh tera ponchhta tha chand ka simin rumal
zaKHm sine pe liye aaj hain dhaare tere
uf kahan Dub gae chand sitare tere
reg-e-dozaKH ko chhupae hai qaba ke andar
haul-nak aaj hai kitna ye dahakta manzar
sham hi sham nazar aati hai kyun sahil par?
kyun teri maujon se chhante nahin anwar-e-sahar?
raushni kyun hui jati hai gurezan tujh se
kyun andheron ke hain lipTe hue tufan tujh se
aaj sahil pe nazar aati hai jalti hui aag
aadamiyyat ka sulagta hai hawaon mein suhag
aaj hai saz-e-siyasat ka bhayanak sa rag
phan uThae hue bal khate hain shoalon ke nag
aaj insan ko Dasti hain hawaen teri
zahr se kitni hain labrez fazaen teri
aai hai thames se ek mauj-e-rawan gati hui
tujh ko aazadi ke paigham se bahlati hui
ruh mai-KHana liye shauq ko bahkati hui
naz karti hui hansti hui iThlati hui
lakh uljha karen zulfon mein ulajhne wale
is ke ishwon ko samajhte hain samajhne wale
lekin ai bint-e-himala teri azmat ki qasam
sail ke sanche mein Dhaali hui rifat ki qasam
tere jalwon ki qasam, teri latafat ki qasam
teri maujon se ubharti hui himmat ki qasam
ab teri aankhon ko namnak na hone denge
daman-e-naz tera chaak na hone denge
- Book : Parvez Shahidi (Pg. 63)
- Author : Aleemullah Hali
- Publication : Sahitya Academy (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.