nadaron ki eid
zardār namāzī eid ke din kapḌoñ meñ chamakte jaate haiñ
nādār musalmāñ masjid meñ jaate bhī huī sharmāte haiñ
malbūs pareshāñ dil ġhamgīñ iflās ke nashtar khāte haiñ
masjid ke farishte insāñ ko insān se kamtar paate haiñ
qur.āñ se dhuāñ sā uThtā hai īmān kā sar jhuk jaatā hai
tasbīh se uThte haiñ sho.ale sajdoñ ko pasīna aatā hai
vo vāsta jis ko fāqoñ roze roze be-bechāra kyā rakkhe
din dekh chukā shab dekh chukā qismat kā sahārā kyā rakhe
ḳhālī hoñ lahū se jis kī rageñ vo dil kā sharāra kyā rakkhe
īmān kī lazzat diiñ kā bharam iflās kā maarā kyā rakkhe
tārīk dikhā.ī detī hai duniyā ye mah-o-ḳhurshīd use
rozī kā sahārā ho jis din vo roz hai roz-e-eid use
ik mādar-e-muflis eid ke din bachchoñ ko liye bahlātī hai
sar un kā kabhī sahlātī hai narmī se kabhī samjhātī hai
qismat pe kabhī jhunjhlātī hai jiine se kabhī tañg aatī hai
zardār paḌosan ḳhush ho kar sab dekhtī hai aur khātī hai
paise kā pujārī duniyāñ meñ sach pūchho to insāñ ho na sakā
daulat kabhī īmāñ lā na sakī sarmāya musalmāñ ho na sakā
nau-ḳhez dulhan aur eid kā din kapḌoñ se numāyāñ bad-halī
kumhlā.e hue se ġhunche-tar murjhā.ī huī sī hariyālī
sūkhā huā chehra ġhurbat se utrī huī hoñToñ kī laalī
māyūs nazar TuuTā huā dil aur haath bhī paise se ḳhālī
shauhar kī nazar hasrat se bharī uThtī hai to ḳhud jhuk jaatī hai
ehsās-e-mohabbat kī duniyāñ us manzar se tharrātī hai
ḳhuuñ chuus rahā hai paudoñ kā ik phuul jo ḳhandāñ hotā hai
pāmāl banā kar sabzoñ ko ik sarv ḳharāma hotā hai
charbī mil kar insānoñ kī ik chehra daraḳhshāñ hotā hai
ye eid ke jalve bante haiñ jab ḳhūn-e-ġharībāñ hotā hai
muflis kī javānī eid ke din jab sub.h se aaheñ bhartī hai
duniyā ye amīroñ kī duniyā tab eid kī ḳhushiyāñ kartī hai
zardar namazi eid ke din kapDon mein chamakte jate hain
nadar musalman masjid mein jate bhi hui sharmate hain
malbus pareshan dil ghamgin iflas ke nashtar khate hain
masjid ke farishte insan ko insan se kamtar pate hain
quran se dhuan sa uThta hai iman ka sar jhuk jata hai
tasbih se uThte hain shoale sajdon ko pasina aata hai
wo wasta jis ko faqon roze roze be-bechaara kya rakkhe
din dekh chuka shab dekh chuka qismat ka sahaara kya rakhe
KHali hon lahu se jis ki ragen wo dil ka sharara kya rakkhe
iman ki lazzat din ka bharam iflas ka mara kya rakkhe
tarik dikhai deti hai duniya ye mah-o-KHurshid use
rozi ka sahaara ho jis din wo roz hai roz-e-eid use
ek madar-e-muflis eid ke din bachchon ko liye bahlati hai
sar un ka kabhi sahlati hai narmi se kabhi samjhati hai
qismat pe kabhi jhunjhlati hai jine se kabhi tang aati hai
zardar paDosan KHush ho kar sab dekhti hai aur khati hai
paise ka pujari duniyan mein sach puchho to insan ho na saka
daulat kabhi iman la na saki sarmaya musalman ho na saka
nau-KHez dulhan aur eid ka din kapDon se numayan bad-hali
kumhlae hue se ghunche-tar murjhai hui si hariyali
sukha hua chehra ghurbat se utri hui honTon ki lali
mayus nazar TuTa hua dil aur hath bhi paise se KHali
shauhar ki nazar hasrat se bhari uThti hai to KHud jhuk jati hai
ehsas-e-mohabbat ki duniyan us manzar se tharraati hai
KHun chus raha hai paudon ka ek phul jo KHandan hota hai
pamal bana kar sabzon ko ek sarw KHarama hota hai
charbi mil kar insanon ki ek chehra daraKHshan hota hai
ye eid ke jalwe bante hain jab KHun-e-ghariban hota hai
muflis ki jawani eid ke din jab subh se aahen bharti hai
duniya ye amiron ki duniya tab eid ki KHushiyan karti hai
- Book : Nushoor Wahedi Veyaktitiva Chhaya Aur Shayri (Urdu Poetry) (Pg. 135)
- Author : Niaz wahedi
- Publication : Niaz wahedi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.