id ka dukh
Interesting Fact
(والدِ گرامی کی یاد میں)
ye mirī pahlī iid hai jis meñ
tū nahīñ hai to soch kar tujh ko
maiñ tirī yaad se milā huuñ gale
vo sukūñ-baḳhsh chhāñv ḳhvāb huī
jo kaḌī dhuup meñ mayassar thī
terī chhitnār shaḳhsiyat ke tale
dost ahbāb rashk karte the
terī bharpūr parvarish ke tufail
ham bahan bhaa.ī jis tarah se pale
terā ehsān hai ki tū ne hameñ
ilm-o-irfāñ se ham-kanār kiyā
ik dar-e-āgahī ko vā kar ke
rāz-e-hastī ko āshkār kiyā
aañkh pur-nam hai muzmahil hai dimāġh
dekh kar tere zauq kā iz.hār
zard lāThī qarāqalī Topī
garm loī kutub kī almārī
dil pareshāñ hai dekh kar terī
surma.ī wasket siyah pā-posh
jo tirī qurbatoñ meñ hāsil thā
ab kahāñ iid kā vo josh-o-ḳharosh
aisā ḳhush-baḳht shaḳhs hogā koī
jis kī aulād us pe naaz kare
hai duā dil se us jahān meñ bhī
rab tujhe aur sarfarāz kare
ye meri pahli id hai jis mein
tu nahin hai to soch kar tujh ko
main teri yaad se mila hun gale
wo sukun-baKHsh chhanw KHwab hui
jo kaDi dhup mein mayassar thi
teri chhitnar shaKHsiyat ke tale
dost ahbab rashk karte the
teri bharpur parwarish ke tufail
hum bahan bhai jis tarah se pale
tera ehsan hai ki tu ne hamein
ilm-o-irfan se ham-kanar kiya
ek dar-e-agahi ko wa kar ke
raaz-e-hasti ko aashkar kiya
aankh pur-nam hai muzmahil hai dimagh
dekh kar tere zauq ka izhaar
zard laThi qaraqali Topi
garm loi kutub ki almari
dil pareshan hai dekh kar teri
surmai wasket siyah pa-posh
jo teri qurbaton mein hasil tha
ab kahan id ka wo josh-o-KHarosh
aisa KHush-baKHt shaKHs hoga koi
jis ki aulad us pe naz kare
hai dua dil se us jahan mein bhi
rab tujhe aur sarfaraaz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.