id
chāñd jab iid kā nazar aayā
haal kyā pūchhte ho ḳhushiyoñ kā
āsmāñ par havā.iyāñ chhūTīñ
naubateñ masjidoñ meñ bajne lagīñ
shukr sab ḳhās-o-ām karne lage
aur bāham salām karne lage
nanhe bachche haiñ ḳhaas kar masrūr
kahte haiñ iid ab hai kitnī duur
maa.eñ kahtī haiñ kuchh nahīñ ab duur
sub.h aa jā.egī yahāñ pe zarūr
aao khā pī ke so raho chup chaap
aa.egī iid sub.h āpī-āp
bachchoñ kī aañkh meñ hai niiñd kahāñ
haiñ unheñ to chaḌhī huī ḳhushiyāñ
ho ga.ī raat kāTnī mushkil
kal ke din par lagā huā hai dil
bachchiyoñ ne lagā.ī hai mehñdī
rangyālī mañgā.ī hai mehñdī
achchhe achchhe banā.e haiñ kapḌe
sab na.e sil ke aa.e haiñ kapḌe
bachche be-e'tibār aise haiñ
un ko rakh kar sirhāne so.e haiñ
aa ga.ī niiñd so ga.e bachche
baare ḳhāmosh ho ga.e bachche
ḳhvāb bhī iid hī ke aate haiñ
sote se uTh ke baiTh jaate haiñ
sub.h-e-sādiq kā ho gayā hai zuhūr
saarī duniyā pe chhā gayā ik nuur
chiḌiyāñ peḌoñ pe chahchahāne lagīñ
iid ke giit mil ke gaane lagīñ
sharq par jalva-gar huā sūraj
aaj hai kuchh nayā nayā sūraj
taaj ḳhuub us ne aaj pahnā hai
surḳh kirnoñ kā taaj pahnā hai
har musalmān bāġh-bāġh hai aaj
āsmāñ par har ik dimāġh hai aaj
sub.h uThte hī sab ne ġhusl kiyā
pahnā ujlā libās itr malā
maa.eñ nahlā rahī haiñ bachchoñ ko
ḳhuub bahlā rahī haiñ bachchoñ ko
bachche ḳhush hoñ yahī hai saarī iid
un ke bachchoñ kī iid un kī iid
bachchiyoñ ne bhī sar guñdhāyā hai
maaoñ ne ḳhuub unheñ sajāyā hai
joḌe rañgīn sab ne pahne haiñ
chāñdī sone ke saare gahne haiñ
oḌhnī par Tikā huā goTā
dekhnā hai damak rahā kaisā
bhā.iyoñ ko bulātī phirtī haiñ
apne kapḌe dikhātī phirtī haiñ
haath mehñdī rañge dikhātī haiñ
ḳhush haiñ hañstī haiñ khilkhilātī haiñ
aur laḌke bhī ho ga.e tayyār
sar pe bāñdhī hai laT-paTī dastār
ḳhushnumā sab ne suiT pahne haiñ
aur pairoñ meñ boot pahne haiñ
kiyā jhuk kar salām maaoñ ko
baap dādoñ ko aur chachāoñ ko
sab se paise jhagaḌ jhagaḌ ke liye
ruuTh kar zid se aur aḌ ke liye
haath meñ lakḌī jeb meñ rūmāl
chalte phirte haiñ kyā Thumaktī chaal
ho chukī ab to ḳhuub tayyārī
aur seva.iyoñ kī aa ga.ī baarī
farsh par bichh gayā hai dastarḳhvān
mil ke baiThe haiñ bachche būḌhe javān
sāmne hai bharī huī thālī
haiñ sivayyāñ bhī ḳhuub rūmālī
ḳhuub khāte haiñ aur khilāte haiñ
yuuñ ḳhushī iid kī manāte haiñ
log sab iid paḌh ke nikle haiñ
goyā parvān chaḌh ke nikle haiñ
ḳhush haiñ sab aur karte haiñ ḳhairāt
lūTte haiñ savāb hāthoñ haat
jaan pahchān milte haiñ aksar
iid milte haiñ sab gale mil kar
bachche-bāle bhī saath haiñ saare
jo ki haiñ iid dekhne aa.e
un ko melā dikhāte phirte haiñ
chīzyāñ bhī khilāte phirte haiñ
bachche laTTū hue khilaunoñ par
vo bhī jholī meñ rakh liye le kar
kyoñ na ho khel kā yahī sin hai
aur phir aaj iid kā din hai
chand jab id ka nazar aaya
haal kya puchhte ho KHushiyon ka
aasman par hawaiyan chhuTin
naubaten masjidon mein bajne lagin
shukr sab KHas-o-am karne lage
aur baham salam karne lage
nanhe bachche hain KHas kar masrur
kahte hain id ab hai kitni dur
maen kahti hain kuchh nahin ab dur
subh aa jaegi yahan pe zarur
aao kha pi ke so raho chup chap
aaegi id subh aapi-ap
bachchon ki aankh mein hai nind kahan
hain unhen to chaDhi hui KHushiyan
ho gai raat kaTni mushkil
kal ke din par laga hua hai dil
bachchiyon ne lagai hai mehndi
rangyali mangai hai mehndi
achchhe achchhe banae hain kapDe
sab nae sil ke aae hain kapDe
bachche be-e'tibar aise hain
un ko rakh kar sirhane soe hain
aa gai nind so gae bachche
bare KHamosh ho gae bachche
KHwab bhi id hi ke aate hain
sote se uTh ke baiTh jate hain
subh-e-sadiq ka ho gaya hai zuhur
sari duniya pe chha gaya ek nur
chiDiyan peDon pe chahchahane lagin
id ke git mil ke gane lagin
sharq par jalwa-gar hua suraj
aaj hai kuchh naya naya suraj
taj KHub us ne aaj pahna hai
surKH kirnon ka taj pahna hai
har musalman bagh-bagh hai aaj
aasman par har ek dimagh hai aaj
subh uThte hi sab ne ghusl kiya
pahna ujla libas itr mala
maen nahla rahi hain bachchon ko
KHub bahla rahi hain bachchon ko
bachche KHush hon yahi hai sari id
un ke bachchon ki id un ki id
bachchiyon ne bhi sar gundhaya hai
maon ne KHub unhen sajaya hai
joDe rangin sab ne pahne hain
chandi sone ke sare gahne hain
oDhni par Tika hua goTa
dekhna hai damak raha kaisa
bhaiyon ko bulati phirti hain
apne kapDe dikhati phirti hain
hath mehndi range dikhati hain
KHush hain hansti hain khilkhilati hain
aur laDke bhi ho gae tayyar
sar pe bandhi hai laT-paTi dastar
KHushnuma sab ne suiT pahne hain
aur pairon mein boot pahne hain
kiya jhuk kar salam maon ko
bap dadon ko aur chachaon ko
sab se paise jhagaD jhagaD ke liye
ruTh kar zid se aur aD ke liye
hath mein lakDi jeb mein rumal
chalte phirte hain kya Thumakti chaal
ho chuki ab to KHub tayyari
aur sewaiyon ki aa gai bari
farsh par bichh gaya hai dastarKHwan
mil ke baiThe hain bachche buDhe jawan
samne hai bhari hui thaali
hain siwayyan bhi KHub rumali
KHub khate hain aur khilate hain
yun KHushi id ki manate hain
log sab id paDh ke nikle hain
goya parwan chaDh ke nikle hain
KHush hain sab aur karte hain KHairaat
luTte hain sawab hathon hat
jaan pahchan milte hain aksar
id milte hain sab gale mil kar
bachche-baale bhi sath hain sare
jo ki hain id dekhne aae
un ko mela dikhate phirte hain
chizyan bhi khilate phirte hain
bachche laTTu hue khilaunon par
wo bhi jholi mein rakh liye le kar
kyon na ho khel ka yahi sin hai
aur phir aaj id ka din hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.