eid-gah
aaj ḳhushī se nāchte bachche karte haiñ sab kaam
ḳhushiyoñ se bharpūr
eid-gāh meñ shor hai kitnā mele kā hañgām
ġham se chaknā-chūr
achchhe achchhe kapḌe pahne bachchoñ kī ik fauj
mausam hai rañgīn
chaltā phirtā ek samundar mauj se miltī mauj
bachche bajā.eñ biin
saare khel khilaune sitvat gaD-maD hote jaa.eñ
mil kar sab chillā.eñ
un saare chehroñ meñ kitne chehre ruup banā.īñ
sab ko kyoñ lalchā.eñ
eid hai aa.ī eid re bachcho eid hai aa.ī eid
bichhḌe aan mileñge phir se ho jā.egī diid
aaj KHushi se nachte bachche karte hain sab kaam
KHushiyon se bharpur
eid-gah mein shor hai kitna mele ka hangam
gham se chakna-chur
achchhe achchhe kapDe pahne bachchon ki ek fauj
mausam hai rangin
chalta phirta ek samundar mauj se milti mauj
bachche bajaen bin
sare khel khilaune sitwat gaD-maD hote jaen
mil kar sab chillaen
un sare chehron mein kitne chehre rup banain
sab ko kyon lalchaen
eid hai aai eid re bachcho eid hai aai eid
bichhDe aan milenge phir se ho jaegi did
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.