sirf ek laDki
apne sard kamre meñ
maiñ udaas baiThī huuñ
nīm-vā darīchoñ se
nam havā.eñ aatī haiñ
mere jism ko chhū kar
aag sī lagātī haiñ
terā naam le le kar
mujh ko gudgudātī haiñ
kaash mere par hote
tere paas uḌ aatī
kaash maiñ havā hotī
tujh ko chhū ke lauT aatī
maiñ nahīñ magar kuchh bhī
sañg dil rivājoñ ke
āhanī hisāroñ meñ
umr-qaid kī mulzim
sirf ek laḌkī huuñ!
apne sard kamre mein
main udas baiThi hun
nim-wa darichon se
nam hawaen aati hain
mere jism ko chhu kar
aag si lagati hain
tera nam le le kar
mujh ko gudgudati hain
kash mere par hote
tere pas uD aati
kash main hawa hoti
tujh ko chhu ke lauT aati
main nahin magar kuchh bhi
sang dil riwajon ke
aahani hisaron mein
umr-qaid ki mulzim
sirf ek laDki hun!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.