rang-o-ras
chuñdhī huī āñkhoñ se
duniyā bhar ke ḳhūbsūrat manāzir
qaid karne vaale laḌke
tum ab bhī kahte ho :
maiñ ne aurat nahīñ dekhī
dilkash tasvīreñ
camere kī bajā.e
diloñ ke canvas par bantī haiñ
kaash tumheñ
āḳhirī mulāqāt se pahle
mukammal añdhere kī
ahmiyat kā andāza ho jaa.e
chundhi hui aankhon se
duniya bhar ke KHubsurat manazir
qaid karne wale laDke
tum ab bhi kahte ho :
main ne aurat nahin dekhi
dilkash taswiren
camere ki bajae
dilon ke canwas par banti hain
kash tumhein
aaKHiri mulaqat se pahle
mukammal andhere ki
ahmiyat ka andaza ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.