nick-name
tum mujh ko guḌiyā kahte ho
Thiik hī kahte ho!
khelne vaale sab hāthoñ ko maiñ guḌiyā hī lagtī huuñ
jo pahnā do mujh pe sajegā
merā koī rañg nahīñ
jis bachche ke haath thamā do
merī kisī se jañg nahīñ
sochtī jāgtī āñhkeñ merī
jab chāhe bīnā.ī le lo
kuuk bharo aur bāteñ sun lo
yā merī goyā.ī le lo
maañg bharo sindūr lagāo
pyaar karo ā.ankhoñ meñ basāo
aur phir jab dil bhar jaa.e to
dil se uThā ke taaq pe rakh do
tum mujh ko guḌiyā kahte ho
Thiik hī kahte ho!
tum mujh ko guDiya kahte ho
Thik hi kahte ho!
khelne wale sab hathon ko main guDiya hi lagti hun
jo pahna do mujh pe sajega
mera koi rang nahin
jis bachche ke hath thama do
meri kisi se jang nahin
sochti jagti aanhken meri
jab chahe binai le lo
kuk bharo aur baaten sun lo
ya meri goyai le lo
mang bharo sindur lagao
pyar karo aaankhon mein basao
aur phir jab dil bhar jae to
dil se uTha ke taq pe rakh do
tum mujh ko guDiya kahte ho
Thik hi kahte ho!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.