main aur hi koi hadisa hun
maiñ ab nayā koī hindisa huuñ
maiñ aur koī hindisa huuñ
tumhāre pahlū meñ kal se ab tak
jo ik ba-sūrat sifar sifar thī
vo maiñ nahīñ thī
jo tujh meñ tere safar kī dhun thī
jo ḳhud musāfir na ho ke bas terī rahguzar thī
vo maiñ nahīñ thī
vo maiñ nahīñ huuñ
jo apne siine kī aag de kar
tire suroñ kā suhāg bhar thī
jo terī duniyā kā raag bhar thī
vo maiñ nahīñ thī
suno tazabzub kī qaid pighlī
maiñ ek nishchit uḌaan huuñ ab
jo ik anishchit, agar magar thī
vo maiñ nahīñ thī vo maiñ nahīñ huuñ
maiñ ab nayā koī hādisa huuñ
maiñ ab na.ī koī intihā huuñ
chalo ye maanā maiñ sāneha huuñ
chalo ye sach hai maiñ ik sazā huuñ
magar jo ab tak tumhāre pahlū meñ
ik ba-sūrat sifar sifar thī
vo maiñ nahīñ thī
vo maiñ nahīñ huuñ
main ab naya koi hindisa hun
main aur koi hindisa hun
tumhaare pahlu mein kal se ab tak
jo ek ba-surat sifar sifar thi
wo main nahin thi
jo tujh mein tere safar ki dhun thi
jo KHud musafir na ho ke bas teri rahguzar thi
wo main nahin thi
wo main nahin hun
jo apne sine ki aag de kar
tere suron ka suhag bhar thi
jo teri duniya ka rag bhar thi
wo main nahin thi
suno tazabzub ki qaid pighli
main ek nishchit uDan hun ab
jo ek anishchit, agar magar thi
wo main nahin thi wo main nahin hun
main ab naya koi hadisa hun
main ab nai koi intiha hun
chalo ye mana main saneha hun
chalo ye sach hai main ek saza hun
magar jo ab tak tumhaare pahlu mein
ek ba-surat sifar sifar thi
wo main nahin thi
wo main nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.