walid sahab ke nam
azīz-tar mujhe rakhtā hai vo rag-e-jāñ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
vo maañ ke kahne pe kuchh ro.ab mujh pe rakhtā hai
yahī hai vaj.h mujhe chūmte jhijhaktā hai
vo āshnā mire har karb se rahe har dam
jo khul ke ro nahīñ paatā magar sisaktā hai
juḌī hai us kī har ik haañ faqat mirī haañ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
har ek dard vo chup-chāp ḳhud pe sahtā hai
tamām umr vo apnoñ se kaT ke rahtā hai
vo lauTtā hai kahīñ raat der ko din bhar
vajūd us kā pasīne meñ Dhal ke bahtā hai
gile haiñ phir bhī mujhe aise chāk-dāmāñ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
purānā suiT pahantā hai kam vo khātā hai
magar khilaune mire sab ḳharīd laatā hai
vo mujh ko so.e hue dekhtā hai jī bhar ke
na jaane soch ke kyā kyā vo muskurātā hai
mire baġhair haiñ sab ḳhvāb us ke vīrāñ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
aziz-tar mujhe rakhta hai wo rag-e-jaan se
ye baat sach hai mera bap kam nahin man se
wo man ke kahne pe kuchh roab mujh pe rakhta hai
yahi hai wajh mujhe chumte jhijhakta hai
wo aashna mere har karb se rahe har dam
jo khul ke ro nahin pata magar sisakta hai
juDi hai us ki har ek han faqat meri han se
ye baat sach hai mera bap kam nahin man se
har ek dard wo chup-chap KHud pe sahta hai
tamam umr wo apnon se kaT ke rahta hai
wo lauTta hai kahin raat der ko din bhar
wajud us ka pasine mein Dhal ke bahta hai
gile hain phir bhi mujhe aise chaak-daman se
ye baat sach hai mera bap kam nahin man se
purana suiT pahanta hai kam wo khata hai
magar khilaune mere sab KHarid lata hai
wo mujh ko soe hue dekhta hai ji bhar ke
na jaane soch ke kya kya wo muskuraata hai
mere baghair hain sab KHwab us ke viran se
ye baat sach hai mera bap kam nahin man se
- Book : Scan File WhatsApp By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.