ek buDha
ik būḌhā bistar-e-marg pe hai
bīmār badan lāchār badan
sāñseñ bhī kuchh bojhal sī haiñ
aur āñkheñ bhī jal-thal sī haiñ
aisā bhī nahīñ tanhā hai vo
paanī hai magar pyāsā hai vo
ghar meñ bahūveñ beTe bhī haiñ
haiñ potiyāñ bhī pote bhī haiñ
lekin koī paas nahīñ aatā
sab jhāñkte haiñ chale jaate haiñ
jaise ye is kā ghar hī nahīñ
jaise vo sab begāne haiñ
jis bahū kā number hotā hai
khāne ke nivāle Thūñs ke vo
farz apnā mukammal kartī hai
phir vaqt pe koī ik beTā
vo jis ko thoḌī fursat ho
pahle to aa kar DāñTtā hai
detā hai davā.ī phir aise
jaise ehsān kare koī
jaise apmān kare koī
har din ye būḌhā sochtā hai
koī baat na.ī ho aaj ke din
koī do mīThe alfāz kahe
kabhī mahfil us ke paas saje
kabhī hañsne kī koī baat chale
magar aisā pichhle barsoñ meñ
kabhī ho paayā nahīñ ho paayā
apne us begāne-pan par
apne us vīrāne-pan par
ye būḌhā inkishāf rahtā hai
ye būḌhā rotā rahtā hai
ik būḌhā bistar-e-marg pe hai
ek buDha bistar-e-marg pe hai
bimar badan lachaar badan
sansen bhi kuchh bojhal si hain
aur aankhen bhi jal-thal si hain
aisa bhi nahin tanha hai wo
pani hai magar pyasa hai wo
ghar mein bahuwen beTe bhi hain
hain potiyan bhi pote bhi hain
lekin koi pas nahin aata
sab jhankte hain chale jate hain
jaise ye is ka ghar hi nahin
jaise wo sab begane hain
jis bahu ka number hota hai
khane ke niwale Thuns ke wo
farz apna mukammal karti hai
phir waqt pe koi ek beTa
wo jis ko thoDi fursat ho
pahle to aa kar DanTta hai
deta hai dawai phir aise
jaise ehsan kare koi
jaise apman kare koi
har din ye buDha sochta hai
koi baat nai ho aaj ke din
koi do miThe alfaz kahe
kabhi mahfil us ke pas saje
kabhi hansne ki koi baat chale
magar aisa pichhle barson mein
kabhi ho paya nahin ho paya
apne us begane-pan par
apne us virane-pan par
ye buDha inkishaf rahta hai
ye buDha rota rahta hai
ek buDha bistar-e-marg pe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.