doraha
Interesting Fact
Dedicated to his daughter Zoya Akhtar
ye jīvan ik raah nahīñ
ik dorāhā hai
pahlā rasta
bahut sahal hai
is meñ koī moḌ nahīñ hai
ye rasta
is duniyā se bejoḌ nahīñ hai
is raste par milte haiñ
retoñ ke āñgan
is raste par milte haiñ
rishtoñ ke bandhan
is raste par chalne vaale
kahne ko sab sukh paate haiñ
lekin
TukḌe TukḌe ho kar
sab rishtoñ meñ baT jaate haiñ
apne palle kuchh nahīñ bachtā
bachtī hai
be-nām sī uljhan
bachtā hai
sāñsoñ kā īñdhan
jis meñ un kī apnī har pahchān
aur un ke saare sapne
jal bujhte haiñ
is raste par chalne vaale
ḳhud ko kho kar jag paate haiñ
uupar uupar to jiite haiñ
andar andar mar jaate haiñ
dūsrā rasta
bahut kaThin hai
is raste meñ
koī kisī ke saath nahīñ hai
koī sahārā dene vaalā nahīñ hai
is raste meñ
dhuup hai
koī chhāñv nahīñ hai
jahāñ tasallī bhiik meñ de de koī kisī ko
is raste meñ
aisā koī gaañv nahīñ hai
ye un logoñ kā rastā hai
jo ḳhud apne tak jaate haiñ
apne aap ko jo paate haiñ
tum is raste par hī chalnā
mujhe patā hai
ye rasta āsān nahīñ hai
lekin mujh ko ye ġham bhī hai
tum ko ab tak
kyuuñ apnī pahchān nahīñ hai
ye jiwan ek rah nahin
ek doraha hai
pahla rasta
bahut sahal hai
is mein koi moD nahin hai
ye rasta
is duniya se bejoD nahin hai
is raste par milte hain
reton ke aangan
is raste par milte hain
rishton ke bandhan
is raste par chalne wale
kahne ko sab sukh pate hain
lekin
TukDe TukDe ho kar
sab rishton mein baT jate hain
apne palle kuchh nahin bachta
bachti hai
be-nam si uljhan
bachta hai
sanson ka indhan
jis mein un ki apni har pahchan
aur un ke sare sapne
jal bujhte hain
is raste par chalne wale
KHud ko kho kar jag pate hain
upar upar to jite hain
andar andar mar jate hain
dusra rasta
bahut kaThin hai
is raste mein
koi kisi ke sath nahin hai
koi sahaara dene wala nahin hai
is raste mein
dhup hai
koi chhanw nahin hai
jahan tasalli bhik mein de de koi kisi ko
is raste mein
aisa koi ganw nahin hai
ye un logon ka rasta hai
jo KHud apne tak jate hain
apne aap ko jo pate hain
tum is raste par hi chalna
mujhe pata hai
ye rasta aasan nahin hai
lekin mujh ko ye gham bhi hai
tum ko ab tak
kyun apni pahchan nahin hai
- Book : Tarkash (Pg. 128)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.