KHwab-jangal
nīñd-pālkī utrī raat duur jañgal meñ
ḳhvāb ḳhvāb manzar thā dhīre dhīre bahtī thī
simfanī havāoñ kī raat chāñd bādal meñ
chāñdnī kī bāñhoñ meñ jhiil vāltz kartī thī
dhīmī dhīmī sī ḳhushbū saath saath chaltī thī
kunj meñ daraḳhtoñ ke be-ḳhudī ke aalam meñ mast Daar hirnoñ kī
bele raqs kartī thī
hirniyoñ kī āñkhoñ meñ mushk sī mahaktī thī
kaale pairahan pahne bā-vaqār peḌoñ ne vailen sambhāle the
jhūmte hue patte tāliyāñ bajāte the
gungunātī bailoñ par phuul kasmasāte the
jugnuoñ kī jhilmil se rāj-hañs sote se jaag jaag uThte the
āhaTeñ parindoñ kī apne shab-baseroñ meñ pā.eleñ bajātī thiiñ
apne band kamre meñ aañkh jo khulī dekhā
shahr kī kasāfat se muzmahil sā sūraj phir
ek aur na.e din kī dhuul le ke aayā thā
T v vaale kamre meñ sub.h kā ḳhabar-nāma ittilā.a detā thā
ek aur jañgal ko kaaT kar nikāleñge rāsta taraqqī kā
nind-palki utri raat dur jangal mein
KHwab KHwab manzar tha dhire dhire bahti thi
simfani hawaon ki raat chand baadal mein
chandni ki banhon mein jhil waltz karti thi
dhimi dhimi si KHushbu sath sath chalti thi
kunj mein daraKHton ke be-KHudi ke aalam mein mast Dar hirnon ki
bele raqs karti thi
hirniyon ki aankhon mein mushk si mahakti thi
kale pairahan pahne ba-waqar peDon ne wailen sambhaale the
jhumte hue patte taliyan bajate the
gungunati bailon par phul kasmasate the
jugnuon ki jhilmil se raj-hans sote se jag jag uThte the
aahaTen parindon ki apne shab-baseron mein paelen bajati thin
apne band kamre mein aankh jo khuli dekha
shahr ki kasafat se muzmahil sa suraj phir
ek aur nae din ki dhul le ke aaya tha
T w wale kamre mein subh ka KHabar-nama ittilaa deta tha
ek aur jangal ko kaT kar nikalenge rasta taraqqi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.