kal jab daraKHt na honge
bayā se chiḌiyā
chiḌiyā se tote
aur tote se kavve
nīl-kañTh wōdpecker
aur laalī tak
parindoñ jānvaroñ
aur insānoñ kā
rizq aur jīvan
bāham
aapas meñ juḌe hue haiñ
daraḳhtoñ paudoñ
phūloñ aur phaloñ se
ham sab kā jīvan hai
daraḳhtoñ kī hariyālī tak
ham sab hariyal haiñ
kal jab
daraḳht nahīñ hoñge
to
kuchh bhī na hogā
bad-baḳhtī ham par
kutte kī sūrat bhauñkegī
kal ham ko
sab ārām mayassar hoñge
lekin
ham ḳhush-baḳht na hoñge
shāyad
jiine kī sarsabz tamannā
Daalī Daalī
sisak sisak kar
mar jā.egī
ye taaj aur taḳht na hoñge
shāyad
vīrān samay
bārish ko tarseñge
har-sū aag ke sho.ale hoñge
tab ham par
dhueñ kālak
aur
carbon ke ajzā barseñge
jiinā hai to bāhar aao
apne liye
aur aane vaalī nasloñ kī
ḳhātir
daraḳht lagāo
bāhar aao
aaj parinde aur jānvar
mushkil meñ haiñ
jald hamārī baarī hai
dekho
sar pe maut khaḌī hai
aur ban par
vahshat taarī hai
pahle
jahāñ nadī bahtī thī
ab ke vahāñ par
ḳhuun kā dariyā jaarī hai
fasleñ ġhalla aur
daraḳht haiñ
sab kī zarūrat
kisān hai
yā koī haarī hai
maañg sabhī kī
gosht hai
duudh aur phal haiñ
sabzī aur tarkārī hai
vo ghar bhī
kyā ghar hai jahāñ par
phal phuul haiñ
na phulvārī hai
kal jab daraḳht nahīñ hoñge
ham ḳhush-baḳht nahīñ hoñge
baya se chiDiya
chiDiya se tote
aur tote se kawwe
nil-kanTh woodpecker
aur lali tak
parindon jaanwaron
aur insanon ka
rizq aur jiwan
baham
aapas mein juDe hue hain
daraKHton paudon
phulon aur phalon se
hum sab ka jiwan hai
daraKHton ki hariyali tak
hum sab hariyal hain
kal jab
daraKHt nahin honge
to
kuchh bhi na hoga
bad-baKHti hum par
kutte ki surat bhaunkegi
kal hum ko
sab aaram mayassar honge
lekin
hum KHush-baKHt na honge
shayad
jine ki sarsabz tamanna
Dali Dali
sisak sisak kar
mar jaegi
ye taj aur taKHt na honge
shayad
viran samay
barish ko tarsenge
har-su aag ke shoale honge
tab hum par
dhuen kalak
aur
carbon ke ajza barsenge
jina hai to bahar aao
apne liye
aur aane wali naslon ki
KHatir
daraKHt lagao
bahar aao
aaj parinde aur jaanwar
mushkil mein hain
jald hamari bari hai
dekho
sar pe maut khaDi hai
aur ban par
wahshat tari hai
pahle
jahan nadi bahti thi
ab ke wahan par
KHun ka dariya jari hai
faslen ghalla aur
daraKHt hain
sab ki zarurat
kisan hai
ya koi haari hai
mang sabhi ki
gosht hai
dudh aur phal hain
sabzi aur tarkari hai
wo ghar bhi
kya ghar hai jahan par
phal phul hain
na phulwari hai
kal jab daraKHt nahin honge
hum KHush-baKHt nahin honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.