ek ehsas
ġhunūdgī sī rahī taarī umr bhar ham par
ye aarzū hī rahī thoḌī der so lete
ḳhalish milī hai mujhe aur kuchh nahīñ ab tak
tire ḳhayāl se ai kaash dard dho lete
mire azīzo mire dosto gavāh raho
birah kī raat kaTī āmad-e-sahar na huī
shikasta-pā hī sahī ham-safar rahā phir bhī
ummīd TuuTī ka.ī baar muntashir na huī
hayūlā kaise badaltā hai vaqt hairāñ huuñ
fareb aur na khaa.e nigāh Dartā huuñ
ye zindagī bhī koī zindagī hai pal pal meñ
hazār baar sambhaltā huuñ aur martā huuñ
vo log jin ko musāfir-navāz kahte the
kahāñ ga.e ki yahāñ ajnabī haiñ sāthī bhī
vo sāya-dār shajar jo sunā thā raah meñ haiñ
sab āñdhiyoñ ne girā Daale ab kahāñ jaa.eñ
ye bojh aur nahīñ uThtā kuchh sabīl karo
chalo hañseñge kahīñ baiTh kar zamāne par
ghunudgi si rahi tari umr bhar hum par
ye aarzu hi rahi thoDi der so lete
KHalish mili hai mujhe aur kuchh nahin ab tak
tere KHayal se ai kash dard dho lete
mere azizo mere dosto gawah raho
birah ki raat kaTi aamad-e-sahar na hui
shikasta-pa hi sahi ham-safar raha phir bhi
ummid TuTi kai bar muntashir na hui
hayula kaise badalta hai waqt hairan hun
fareb aur na khae nigah Darta hun
ye zindagi bhi koi zindagi hai pal pal mein
hazar bar sambhalta hun aur marta hun
wo log jin ko musafir-nawaz kahte the
kahan gae ki yahan ajnabi hain sathi bhi
wo saya-dar shajar jo suna tha rah mein hain
sab aandhiyon ne gira Dale ab kahan jaen
ye bojh aur nahin uThta kuchh sabil karo
chalo hansenge kahin baiTh kar zamane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.