id ka manzar
hilāl-e-īd banā hai kalīdī-e-aish-o-nashāt
jahāñ meñ bichh ga.ī phir se masarratoñ kī bisāt
ḳhushī se phūle samāte nahīñ haiñ mard-o-zan
mahak uThe dar-o-dīvār aur sehn-e-chaman
galī meñ kūchoñ meñ rāhoñ meñ shāh-rāhoñ meñ
masarratoñ ke nazāre haiñ ḳhānqāhoñ meñ
añdhere muñh hī parinde bhī chahchahāne lage
qadam qadam pe lage mele shādyāne baje
hai kaif-o-mastī ke aalam meñ aaj pīr-o-javāñ
ibādatoñ kā nasha de gayā mah-e-ramazāñ
ḳhudā ke diin kā kis tarah ho bayān huzūr
ḳhudā har ik ko ḳhushī iid kī nasīb kare
hamārī nasl ko is diin se qarīb kare
hilal-e-id bana hai kalidi-e-aish-o-nashat
jahan mein bichh gai phir se masarraton ki bisat
KHushi se phule samate nahin hain mard-o-zan
mahak uThe dar-o-diwar aur sehn-e-chaman
gali mein kuchon mein rahon mein shah-rahon mein
masarraton ke nazare hain KHanqahon mein
andhere munh hi parinde bhi chahchahane lage
qadam qadam pe lage mele shadyane baje
hai kaif-o-masti ke aalam mein aaj pir-o-jawan
ibaadaton ka nasha de gaya mah-e-ramazan
KHuda ke din ka kis tarah ho bayan huzur
KHuda har ek ko KHushi id ki nasib kare
hamari nasl ko is din se qarib kare
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 71)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.