id hairan hai
iid mehñdī kā ḳhushiyoñ kā
rañgoñ kā ḳhushbū kā
aur kāñch kī chūḌiyoñ kī khanak
meñ basī ārzūoñ kā ik naam hai
iid in.aam hai
iid ummīd hai
iid tajdīd hai
iid jaise koī raushnī kī kiran
ek va.ade kahānī fasāne kī yā
hijr mausam meñ lipTe hue vasl ke
dukh kī tamhīd hai
iid ummīd hai
ek ghar meñ to ḳhushiyoñ kā sāmān hai
ek ghar meñ magar dukh kā tūfān hai
iid hairān hai
iid hiirā nahīñ iid motī nahīñ
iid hañstī nahīñ iid rotī nahīñ
ek āñgan kahīñ koī aisā bhī hai
jis meñ shahzādī sadiyoñ se sotī nahīñ
shāhzāde kī jab diid hotī nahīñ
iid ke din bhī phir iid hotī nahīñ
id mehndi ka KHushiyon ka
rangon ka KHushbu ka
aur kanch ki chuDiyon ki khanak
mein basi aarzuon ka ek nam hai
id inam hai
id ummid hai
id tajdid hai
id jaise koi raushni ki kiran
ek wade kahani fasane ki ya
hijr mausam mein lipTe hue wasl ke
dukh ki tamhid hai
id ummid hai
ek ghar mein to KHushiyon ka saman hai
ek ghar mein magar dukh ka tufan hai
id hairan hai
id hira nahin id moti nahin
id hansti nahin id roti nahin
ek aangan kahin koi aisa bhi hai
jis mein shahzadi sadiyon se soti nahin
shahzade ki jab did hoti nahin
id ke din bhi phir id hoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.