id
ai jamāl-e-dost terī diid honī chāhiye
ġham-zadoñ kī bhī to āḳhir iid honī chāhiye
jab nahīñ hai aap ko tark-e-ta.alluq kā ḳhayāl
aap hī ke qaul se tardīd honī chāhiye
māntā huuñ maiñ ki be-shak qaul ke sachche haiñ aap
lekin apne ahd kī tajdīd honī chāhiye
merī jānib se sahī tahrīk-e-takmīl-e-vafā
lekin is ko aap kī tā.īd honī chāhiye
aap ne tanqīs kar dī dāstān-e-shauq kī
merā ye armān thā tanqīd honī chāhiye
har qadam par rah-rav-e-ulfat ko manzil ke liye
shauq honā chāhiye ummīd honī chāhiye
jo bayāñ iz.hār-e-harf-e-mudda.ā par ḳhatm ho
us kī bilkul muḳhtasar tamhīd honī chāhiye
ham ko bhī mālūm ho kin se hai raunaq bazm kī
aap ke ahbāb kī tafrīd honī chāhiye
aap jab chāheñ mire chullū meñ talchhaT Daal deñ
kab kahā thā mahfil-e-jamshīd honī chāhiye
sajda-rezī ke liye is rahguzar meñ ai jabīñ
naqsh-e-pā-e-dost kī taqlīd honī chāhiye
ai jamal-e-dost teri did honi chahiye
gham-zadon ki bhi to aaKHir id honi chahiye
jab nahin hai aap ko tark-e-talluq ka KHayal
aap hi ke qaul se tardid honi chahiye
manta hun main ki be-shak qaul ke sachche hain aap
lekin apne ahd ki tajdid honi chahiye
meri jaanib se sahi tahrik-e-takmil-e-wafa
lekin is ko aap ki taid honi chahiye
aap ne tanqis kar di dastan-e-shauq ki
mera ye arman tha tanqid honi chahiye
har qadam par rah-raw-e-ulfat ko manzil ke liye
shauq hona chahiye ummid honi chahiye
jo bayan izhaar-e-harf-e-muddaa par KHatm ho
us ki bilkul muKHtasar tamhid honi chahiye
hum ko bhi malum ho kin se hai raunaq bazm ki
aap ke ahbab ki tafrid honi chahiye
aap jab chahen mere chullu mein talchhaT Dal den
kab kaha tha mahfil-e-jamshid honi chahiye
sajda-rezi ke liye is rahguzar mein ai jabin
naqsh-e-pa-e-dost ki taqlid honi chahiye
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.