ek chhabelī na.ī-navelī sundar pyārī laḌkī
na.e chāñd kī nūrānī kashtī se nīche utrī
āsmān se le kar zamīñ tak phuul girā.e us ne
jidhar jidhar se guzrī ghar āñgan mahkā.e us ne
ik albelī na.ī-navelī duudh sī ujlī laḌkī
shiir ḳhorma aur siva.iyāñ khātī khilātī i
nirdhan aur dhanvān sabhī se hañstī hañsātī i
qadam qadam par ḳhushiyoñ kī sauġhāt luTātī i
ek chhabelī na.ī-navelī naTkhaT chanchal laḌkī
rañg-birañgī poshākoñ meñ mela ghuum rahī hai
jhapaT rahī hai sab se eidī ḳhush hai jhuum rahī hai
aaj to saare din hī goyā us kī dhuum rahī hai
ek chhabelī na.ī-navelī eid chalī aa.ī hai
kitnī ḳhushiyāñ kitne naġhme dāman meñ laa.ī hai
ek chhabeli nai-naweli sundar pyari laDki
nae chand ki nurani kashti se niche utri
aasman se le kar zamin tak phul girae us ne
jidhar jidhar se guzri ghar aangan mahkae us ne
ek albeli nai-naweli dudh si ujli laDki
shir KHorma aur siwaiyan khati khilati i
nirdhan aur dhanwan sabhi se hansti hansati i
qadam qadam par KHushiyon ki saughat luTati i
ek chhabeli nai-naweli naTkhaT chanchal laDki
rang-birangi poshakon mein mela ghum rahi hai
jhapaT rahi hai sab se eidi KHush hai jhum rahi hai
aaj to sare din hi goya us ki dhum rahi hai
ek chhabeli nai-naweli eid chali aai hai
kitni KHushiyan kitne naghme daman mein lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.