eid milan ke mauqea par
merī dānist meñ ham-jins haiñ holī aur eid
donoñ haiñ lutf-o-masarrat ke liye roz-e-sa.īd
aam hai aaj mulāqāt nahīñ farq kā kaam
vā hai āġhosh-e-mohabbat na sahī dīd-o-shunīd
fazl-e-bārī se jo kal shaam huī chāñd kī diid
aa ga.ī haath haqīqat meñ masarrat kī kalīd
dīd-e-aqdas se huī ain ḳhushī kī taulīd
ġhaib se dil ko huī jazb-e-vafā kī tākīd
aaj hotī hai na.e sar se vafā kī tajdīd
ye milan eid kā hai qufl-e-mohabbat kī kalīd
aaj hotī hai hasad buġhz-o-jafā kī tardīd
is liye ahl-e-vatan sab ko mubārak ho eid
ye haqīqat hai ki hai aaj kā din roz-e-sa.īd
dil se dil miltā hai hotī hai vafā kī tajdīd
ye nazāra bhī mulāqāt kā hai qābil-e-dīd
lutf-dar-lutf hai har lutf hai ik lutf-e-mazīd
meri danist mein ham-jins hain holi aur eid
donon hain lutf-o-masarrat ke liye roz-e-said
aam hai aaj mulaqat nahin farq ka kaam
wa hai aaghosh-e-mohabbat na sahi did-o-shunid
fazl-e-bari se jo kal sham hui chand ki did
aa gai hath haqiqat mein masarrat ki kalid
did-e-aqdas se hui ain KHushi ki taulid
ghaib se dil ko hui jazb-e-wafa ki takid
aaj hoti hai nae sar se wafa ki tajdid
ye milan eid ka hai qufl-e-mohabbat ki kalid
aaj hoti hai hasad bughz-o-jafa ki tardid
is liye ahl-e-watan sab ko mubarak ho eid
ye haqiqat hai ki hai aaj ka din roz-e-said
dil se dil milta hai hoti hai wafa ki tajdid
ye nazara bhi mulaqat ka hai qabil-e-did
lutf-dar-lutf hai har lutf hai ek lutf-e-mazid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.