Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid ki achkan

Syed Mohammad Jafri

eid ki achkan

Syed Mohammad Jafri

MORE BYSyed Mohammad Jafri

    sajtī thī kabhī tan pe jo thī eid achkan

    sajte the kabhī ham, to kabhī eid achkan

    sau sau tarah parvān chaḌhī eid achkan

    ab itne ghaTe ham ki baḌhī eid achkan

    achkan nahīñ is vaqt abā aur qabā hai

    koī do-shāla hai jo khūñTī pe Tañgā hai

    is eid achkan ne machā.ī thī baḌī dhuum

    jab is ko pahante to chamak uThtā thā maqsūm

    jaate jo kahīñ duur se ho jaatā thā ma.alūm

    ham is meñ nazar aate the jaise ki hoñ ma.asūm

    is eid achkan meñ baḌe la.al jaḌe the

    eidī bhī hameñ dete the jau ham se baḌe the

    us ahd meñ ye eid achkan thī banā.ī

    jis ahd meñ ham khāte the baabā kamā.ī

    dete na the aflās us vaqt duhā.ī

    mil jaatī thī jis shai zarūrat nazar aa.ī

    har baat pe jab ruuTh ke hañsne maza thā

    tab eid achkan ke pahanñe maza thā

    is eid achkan ko pahan lete the jab ham

    aatī thī nazar hech hameñ saltanat-e-jam

    jis ne mujhe dekhā vo yahī kahtā thā har dam

    ''jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār ālam''

    ''maiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā''

    maiñ bhī ġham-e-duniyā shanāvar na huā thā

    is eid achkan ne gale un se milāyā

    ghabrātā thā paas aane se jin logoñ saaya

    kis kis ke na jaane but-e-pindār ko Dhāyā

    jab eid din aayā to phir dil ko sajāyā

    achkan nahīñ maazī sunahrā varaq hai

    ham badle par achkan nahīñ badlī ye qalaq hai

    ai 'ja.afarī' achkan ko na laTkā mire aage

    ''juz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire āge''

    vo dhuup Dhalī rah gayā saayā mire aage

    ab qissa-e-māzī ko na dohrā mire aage

    kaam aa.ī ye achkan na ġharīb-ul-vatanī meñ

    ''har-chand subuk-dast hue but-shikanī meñ''

    sajti thi kabhi tan pe jo thi eid ki achkan

    sajte the kabhi ham, to kabhi eid ki achkan

    sau sau tarah parwan chaDhi eid ki achkan

    ab itne ghaTe hum ki baDhi eid ki achkan

    achkan nahin is waqt aba aur qaba hai

    ya koi do-shaala hai jo khunTi pe Tanga hai

    is eid ki achkan ne machai thi baDi dhum

    jab is ko pahante to chamak uThta tha maqsum

    jate jo kahin dur se ho jata tha malum

    hum is mein nazar aate the jaise ki hon masum

    is eid ki achkan mein baDe lal jaDe the

    eidi bhi hamein dete the jau hum se baDe the

    us ahd mein ye eid ki achkan thi banai

    jis ahd mein hum khate the baba ki kamai

    dete na the aflas ki us waqt duhai

    mil jati thi jis shai ki zarurat nazar aai

    har baat pe jab ruTh ke hansne ka maza tha

    tab eid ki achkan ke pahanne ka maza tha

    is eid ki achkan ko pahan lete the jab hum

    aati thi nazar hech hamein saltanat-e-jam

    jis ne mujhe dekha wo yahi kahta tha har dam

    jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka aalam

    main mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha

    main bhi gham-e-duniya ka shanawar na hua tha

    is eid ki achkan ne gale un se milaya

    ghabraata tha pas aane se jin logon ka saya

    kis kis ke na jaane but-e-pindar ko Dhaya

    jab eid ka din aaya to phir dil ko sajaya

    achkan nahin mazi ka sunahra sa waraq hai

    hum badle par achkan nahin badli ye qalaq hai

    ai 'jafari' achkan ko na laTka mere aage

    juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage

    wo dhup Dhali rah gaya saya mere aage

    ab qissa-e-mazi ko na dohra mere aage

    kaam aai ye achkan na gharib-ul-watani mein

    har-chand subuk-dast hue but-shikani mein

    Source :
    • Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 44)
    • Author : Sayed Mohammad Jafri
    • Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
    • Edition : 2007

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now