eid ka chand dekh kar
sub.h ḳhairāt ke āñgan meñ ġharībī hogī
phir vahī sadqa-e-jāñ ab ke baras pā.eñge
aur har dast-e-muḳhayyar meñ chamakte sikke
malgaje jismoñ kī hālat pe taras khā.eñge
ġham ke tapte hue sahrā pe ḳhushī ke bādal
be-irāda hī sar-e-rāh baras jā.eñge
tīra-baḳhtī kī muñDeroñ pe umīdoñ ke charāġh
phir ra.ūnat kī havāoñ se jilā māñgeñge
bhuuk kī gard meñ lipTe hue sīmīñ paikar
nang-e-ehsās sa.ūbat se qabā māñgeñge
phir havas-jū kisī adh-nangī javānī kī taraf
apnī pheñkī huī chādar kā sila māñgeñge
fāqa-mastī hī muqaddar hai to āḳhir ik din
peT kī aag bujhāne kī zarūrat kyā hai
sāl-hā-sāl kī bosīda rivāyat ke evaz
daulat-e-ġham ko luTāne kī zarūrat kyā hai
bhiik ke paisoñ ko dastār-e-anā meñ rakh kar
sāthiyo eid manāne kī zarūrat kyā hai
aur agar eid manānā hai to jān-e-ġhurbat
sang-e-mehnat se ye kashkol-e-zalālat toḌo
bhiik par jiine se behtar hai ḳhudī par marnā
ye hisār-e-ravish-e-ahl-e-ināyat toḌo
māh-e-qurāñ ke fazā.el kī qasam hai tum ko
aaj ḳhairāt pe jiine kī rivāyat toḌo
subh KHairaat ke aangan mein gharibi hogi
phir wahi sadqa-e-jaan ab ke baras paenge
aur har dast-e-muKHayyar mein chamakte sikke
malgaje jismon ki haalat pe taras khaenge
gham ke tapte hue sahra pe KHushi ke baadal
be-irada hi sar-e-rah baras jaenge
tira-baKHti ki munDeron pe umidon ke charagh
phir raunat ki hawaon se jila mangenge
bhuk ki gard mein lipTe hue simin paikar
nang-e-ehsas saubat se qaba mangenge
phir hawas-ju kisi adh-nangi jawani ki taraf
apni phenki hui chadar ka sila mangenge
faqa-masti hi muqaddar hai to aaKHir ek din
peT ki aag bujhane ki zarurat kya hai
sal-ha-sal ki bosida riwayat ke ewaz
daulat-e-gham ko luTane ki zarurat kya hai
bhik ke paison ko dastar-e-ana mein rakh kar
sathiyo eid manane ki zarurat kya hai
aur agar eid manana hai to jaan-e-ghurbat
sang-e-mehnat se ye kashkol-e-zalalat toDo
bhik par jine se behtar hai KHudi par marna
ye hisar-e-rawish-e-ahl-e-inayat toDo
mah-e-quran ke fazael ki qasam hai tum ko
aaj KHairaat pe jine ki riwayat toDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.