eid-gah
aa.ī jo iid ham ne
pahne na.e se kapḌe
abbū ko saath le ke
phir īd-gāh pahuñche
pahle namāz adā kī
ḳhutba sunā duā kī
mele meñ phir ga.e ham
ghanToñ vahāñ rahe ham
jhūlā bhī ḳhuub jhūlā
sāmān bhī ḳharīdā
taḌ-taḌ kī ek gaaḌī
chābī kī ek laarī
lakḌī kā ek ghoḌā
bandar plastic kā
pistol aur paTāḳhe
kuchh gas ke ġhubāre
le kar ye sab khilaune
ham apne ghar ko lauTe
aai jo id hum ne
pahne nae se kapDe
abbu ko sath le ke
phir id-gah pahunche
pahle namaz ada ki
KHutba suna dua ki
mele mein phir gae hum
ghanTon wahan rahe hum
jhula bhi KHub jhula
saman bhi KHarida
taD-taD ki ek gaDi
chabi ki ek lari
lakDi ka ek ghoDa
bandar plastic ka
pistol aur paTaKHe
kuchh gas ke ghubare
le kar ye sab khilaune
hum apne ghar ko lauTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.