Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bewa ki eid

Shabbir Azar

bewa ki eid

Shabbir Azar

MORE BYShabbir Azar

    kabhī

    is tarah

    vo

    na itnī ayaañ thī

    ḳhāmoshī thī

    lekin

    sarāpā bayāñ thiiñ

    maiñ

    sar se paañv tak

    use paḌh rahā thā

    na āñkhoñ meñ kājal

    na chehre pe ġhāza

    na hāthoñ meñ kangan

    na paañv meñ pāzeb

    use paḌh rahā thā

    ajab kashmakash thī

    ajab silsila thā

    ki jaise kah rahī thī

    qābil-e-dīd huuñ maiñ

    is jannat-e-be-nazīr meñ

    beva eid huuñ maiñ

    kabhi

    is tarah

    wo

    na itni ayan thi

    KHamoshi thi

    lekin

    sarapa bayan thin

    main

    sar se panw tak

    use paDh raha tha

    na aankhon mein kajal

    na chehre pe ghaza

    na hathon mein kangan

    na panw mein pazeb

    use paDh raha tha

    ajab kashmakash thi

    ajab silsila tha

    ki jaise kah rahi thi

    qabil-e-did hun main

    is jannat-e-be-nazir mein

    bewa ki eid hun main

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now