Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya

Sahir Ludhianvi

ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    ye mahloñ ye taḳhtoñ ye tājoñ duniyā

    ye insāñ ke dushman samājoñ duniyā

    ye daulat ke bhūke rivājoñ duniyā

    ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

    har ik jism ghāyal har ik ruuh pyāsī

    nigāhoñ meñ uljhan diloñ meñ udāsī

    ye duniyā hai ālam-e-bad-havāsī

    ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

    yahāñ ik khilaunā hai insāñ hastī

    ye bastī hai murda-parastoñ bastī

    yahāñ par to jīvan se hai maut sastī

    ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

    javānī bhaTaktī hai bad-kār ban kar

    javāñ jism sajte haiñ bāzār ban kar

    yahāñ pyaar hotā hai bevpār ban kar

    ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

    ye duniyā jahāñ aadmī kuchh nahīñ hai

    vafā kuchh nahīñ dostī kuchh nahīñ hai

    jahāñ pyaar qadr kuchh nahīñ hai

    ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

    jalā do ise phūñk Daalo ye duniyā

    mire sāmne se haTā lo ye duniyā

    tumhārī hai tum sambhālo ye duniyā

    ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai

    ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya

    ye insan ke dushman samajon ki duniya

    ye daulat ke bhuke riwajon ki duniya

    ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

    har ek jism ghayal har ek ruh pyasi

    nigahon mein uljhan dilon mein udasi

    ye duniya hai ya aalam-e-bad-hawasi

    ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

    yahan ek khilauna hai insan ki hasti

    ye basti hai murda-paraston ki basti

    yahan par to jiwan se hai maut sasti

    ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

    jawani bhaTakti hai bad-kar ban kar

    jawan jism sajte hain bazar ban kar

    yahan pyar hota hai bewpar ban kar

    ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

    ye duniya jahan aadmi kuchh nahin hai

    wafa kuchh nahin dosti kuchh nahin hai

    jahan pyar ki qadr hi kuchh nahin hai

    ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

    jala do ise phunk Dalo ye duniya

    mere samne se haTa lo ye duniya

    tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniya

    ye duniya agar mil bhi jae to kya hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Rafi

    Mohammad Rafi

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 450)
    • Author : SAHIR LUDHIANVI
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now