ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya
ye mahloñ ye taḳhtoñ ye tājoñ kī duniyā
ye insāñ ke dushman samājoñ kī duniyā
ye daulat ke bhūke rivājoñ kī duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
har ik jism ghāyal har ik ruuh pyāsī
nigāhoñ meñ uljhan diloñ meñ udāsī
ye duniyā hai yā ālam-e-bad-havāsī
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
yahāñ ik khilaunā hai insāñ kī hastī
ye bastī hai murda-parastoñ kī bastī
yahāñ par to jīvan se hai maut sastī
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
javānī bhaTaktī hai bad-kār ban kar
javāñ jism sajte haiñ bāzār ban kar
yahāñ pyaar hotā hai bevpār ban kar
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye duniyā jahāñ aadmī kuchh nahīñ hai
vafā kuchh nahīñ dostī kuchh nahīñ hai
jahāñ pyaar kī qadr hī kuchh nahīñ hai
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
jalā do ise phūñk Daalo ye duniyā
mire sāmne se haTā lo ye duniyā
tumhārī hai tum hī sambhālo ye duniyā
ye duniyā agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya
ye insan ke dushman samajon ki duniya
ye daulat ke bhuke riwajon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
har ek jism ghayal har ek ruh pyasi
nigahon mein uljhan dilon mein udasi
ye duniya hai ya aalam-e-bad-hawasi
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
yahan ek khilauna hai insan ki hasti
ye basti hai murda-paraston ki basti
yahan par to jiwan se hai maut sasti
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
jawani bhaTakti hai bad-kar ban kar
jawan jism sajte hain bazar ban kar
yahan pyar hota hai bewpar ban kar
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye duniya jahan aadmi kuchh nahin hai
wafa kuchh nahin dosti kuchh nahin hai
jahan pyar ki qadr hi kuchh nahin hai
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
jala do ise phunk Dalo ye duniya
mere samne se haTa lo ye duniya
tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 450)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.