Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

watan ka rag

Hamidullah Afsar

watan ka rag

Hamidullah Afsar

MORE BYHamidullah Afsar

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    har rut har ik mausam is kaisā pyārā pyārā hai

    kaisā suhānā kaisā sundar pyārā des hamārā hai

    dukh meñ sukh meñ har hālat meñ bhārat dil sahārā hai

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    saare jag ke pahāḌoñ meñ be-misl pahāḌ himāla hai

    parbat sab se ūñchā hai ye parbat sab se nirālā hai

    bhārat rakhshā kartā hai bhārat rakhvālā hai

    lākhoñ chashme bahte haiñ is meñ lākhoñ nadiyoñ vaalā hai

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    gañgā-jī pyārī lahreñ giit sunātī jaatī haiñ

    sadiyoñ tahzīb hamārī yaad dilātī jaatī haiñ

    bhārat gulzāroñ ko sarsabz banātī jaatī haiñ

    khetoñ ko hariyālī detī phuul khilātī jaatī haiñ

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    hare-bhare haiñ khet hamāre duniyā ko an dete haiñ

    chāñdī sone kānoñ se ham jag ko dhan dete haiñ

    prem ke pyāre phuul ḳhushbū gulshan gulshan dete haiñ

    amn-o-amāñ ne.amat sab ko bhar bhar dāman dete haiñ

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    'krishn' bansī ne phūñkī hai ruuh hamārī jānoñ meñ

    'gautam' āvāz basī hai mahloñ meñ maidānoñ meñ

    'chishtī' ne jo thī mai vo ab tak hai paimānoñ meñ

    'nānak' ta.alīm abhī tak guuñj rahī hai kānoñ meñ

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    maz.hab kuchh ho hindī haiñ ham saare bhaa.ī bhaa.ī haiñ

    hindū haiñ muslim haiñ sikh haiñ īsā.ī haiñ

    prem ne sab ko ek kiyā hai prem ke ham shaidā.ī haiñ

    bhārat naam ke āshiq haiñ ham bhārat ke saudā.ī haiñ

    bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    har rut har ek mausam is ka kaisa pyara pyara hai

    kaisa suhana kaisa sundar pyara des hamara hai

    dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    sare jag ke pahaDon mein be-misl pahaD himala hai

    parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai

    bhaarat ki rakhsha karta hai bhaarat ka rakhwala hai

    lakhon chashme bahte hain is mein lakhon nadiyon wala hai

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain

    sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain

    bhaarat ki gulzaron ko sarsabz banati jati hain

    kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    hare-bhare hain khet hamare duniya ko an dete hain

    chandi sone ki kanon se hum jag ko dhan dete hain

    prem ke pyare phul ki KHushbu gulshan gulshan dete hain

    amn-o-aman ki neamat sab ko bhar bhar daman dete hain

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    'krishn' ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein

    'gautam' ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein

    'chishti' ne jo di thi mai wo ab tak hai paimanon mein

    'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain

    hindu hain ya muslim hain ya sikh hain ya isai hain

    prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain

    bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke saudai hain

    bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 59)
    • Author : Sibte Hasan
    • Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
    • Edition : 1985,2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now