watan-ashob
sabza o barg o laala o sarv-o-saman ko kyā huā
saarā chaman udaas hai haa.e chaman ko kyā huā
ik sukūt har taraf hosh-rubā o haul-nāk
ḳhuld-e-vatan ke pāsbāñ ḳhuld-e-vatan ko kyā huā
raqs-e-tarab kidhar gayā naġhma-tarāz kyā hue
ġhamza-o-nāz kyā hue ishva o fan ko kyā huā
jis kī nava-e-dil-sitāñ zaḳhma-e-sāz-e-shauq thī
koī batāo us but-e-ġhuncha-dahan ko kyā huā
chashmak-e-dam-ba-dam nahīñ mashq-e-ḳhirām-o-ram nahīñ
mere ġhazāl kyā hue mere ḳhutan ko kyā huā
chhā.ī hai kyuuñ fasurdagī ālam-e-husn-o-ishq par
aaj vo ''nal'' kidhar ga.e aaj ''daman'' ko kyā huā
āñkhoñ meñ ḳhauf o yaas hai chehra udaas udaas hai
asr-e-ravāñ kī lailā-e-burqa-fagan ko kyā huā
aah ḳhirad kidhar ga.ī aah junūñ ne kyā kiyā
aah shabāb-e-ḳhūgar-dār-o-rasan ko kyā huā
koī batā.e azmat-e-ḳhāk-e-vatan kahāñ hai ab
koī batā.e ġhairat-e-ahl-e-vatan ko kyā huā
koh vahī daman vahī dasht vahī chaman vahī
phir ye 'majāz' jazba-e-hubb-e-vatan ko kyā huā
sabza o barg o lala o sarw-o-saman ko kya hua
sara chaman udas hai hae chaman ko kya hua
ek sukut har taraf hosh-ruba o haul-nak
KHuld-e-watan ke pasban KHuld-e-watan ko kya hua
raqs-e-tarab kidhar gaya naghma-taraaz kya hue
ghamza-o-naz kya hue ishwa o fan ko kya hua
jis ki nawa-e-dil-sitan zaKHma-e-saz-e-shauq thi
koi batao us but-e-ghuncha-dahan ko kya hua
chashmak-e-dam-ba-dam nahin mashq-e-KHiram-o-ram nahin
mere ghazal kya hue mere KHutan ko kya hua
chhai hai kyun fasurdagi aalam-e-husn-o-ishq par
aaj wo nal kidhar gae aaj daman ko kya hua
aankhon mein KHauf o yas hai chehra udas udas hai
asr-e-rawan ki laila-e-burqa-fagan ko kya hua
aah KHirad kidhar gai aah junun ne kya kiya
aah shabab-e-KHugar-dar-o-rasan ko kya hua
koi batae azmat-e-KHak-e-watan kahan hai ab
koi batae ghairat-e-ahl-e-watan ko kya hua
koh wahi daman wahi dasht wahi chaman wahi
phir ye 'majaz' jazba-e-hubb-e-watan ko kya hua
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.