shikast-e-zindan ka KHwab
Interesting Fact
"this was the first revolutionary poem of josh malihabadi which was full of zeal of freedom movment. this was new trend in urdu poetry" sardar jafry
kyā hind kā zindāñ kaañp rahā hai guuñj rahī haiñ takbīreñ
uktā.e haiñ shāyad kuchh qaidī aur toḌ rahe haiñ zanjīreñ
dīvāroñ ke nīche aa aa kar yuuñ jam.a hue haiñ zindānī
sīnoñ meñ talātum bijlī kā āñkhoñ meñ jhalaktī shamshīreñ
bhūkoñ kī nazar meñ bijlī hai topoñ ke dahāne ThanDe haiñ
taqdīr ke lab ko jumbish hai dam toḌ rahī haiñ tadbīreñ
āñkhoñ meñ gadā kī surḳhī hai be-nūr hai chehra sultāñ kā
taḳhrīb ne parcham kholā hai sajde meñ paḌī haiñ tāmīreñ
kyā un ko ḳhabar thī zer-o-zabar rakhte the jo rūh-e-millat ko
ubleñge zamīñ se mār-e-siyah barseñgī falak se shamshīreñ
kyā un ko ḳhabar thī sīnoñ se jo ḳhuun churāyā karte the
ik roz isī be-rañgī se jhalkeñgī hazāroñ tasvīreñ
kyā un ko ḳhabar thī hoñToñ par jo qufl lagāyā karte the
ik roz isī ḳhāmoshī se Tapkeñgī dahaktī taqrīreñ
sambhlo ki vo zindāñ guuñj uThā jhapTo ki vo qaidī chhūT ga.e
uTTho ki vo baiThīñ dīvāreñ dauḌo ki vo TuuTī zanjīreñ
kya hind ka zindan kanp raha hai gunj rahi hain takbiren
uktae hain shayad kuchh qaidi aur toD rahe hain zanjiren
diwaron ke niche aa aa kar yun jama hue hain zindani
sinon mein talatum bijli ka aankhon mein jhalakti shamshiren
bhukon ki nazar mein bijli hai topon ke dahane ThanDe hain
taqdir ke lab ko jumbish hai dam toD rahi hain tadbiren
aankhon mein gada ki surKHi hai be-nur hai chehra sultan ka
taKHrib ne parcham khola hai sajde mein paDi hain tamiren
kya un ko KHabar thi zer-o-zabar rakhte the jo ruh-e-millat ko
ublenge zamin se mar-e-siyah barsengi falak se shamshiren
kya un ko KHabar thi sinon se jo KHun churaya karte the
ek roz isi be-rangi se jhalkengi hazaron taswiren
kya un ko KHabar thi honTon par jo qufl lagaya karte the
ek roz isi KHamoshi se Tapkengi dahakti taqriren
sambhlo ki wo zindan gunj uTha jhapTo ki wo qaidi chhuT gae
uTTho ki wo baiThin diwaren dauDo ki wo TuTi zanjiren
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 11)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.