pandrah august
Interesting Fact
The nazm was recited on August 15, 2007 at the very place in the Parliament from where Mr. Jawahar Lal Nehru declared India's independence from the British Empire on 15 August 1947.
yahī jagah thī yahī din thā aur yahī lamhāt
saroñ pe chhā.ī thī sadiyoñ se ik jo kaalī raat
isī jagah isī din to milī thī us ko maat
isī jagah isī din to huā thā ye elaan
añdhere haar ga.e zindābād hindostān
yahīñ to ham ne kahā thā ye kar dikhānā hai
jo zaḳhm tan pe hai bhārat ke us ko bharnā hai
jo daaġh māthe pe bhārat ke hai miTānā hai
yahīñ to khaa.ī thī ham sab ne ye qasam us din
yahīñ se nikle the apne safar pe ham us din
yahīñ thā guuñj uThā vande-mātram us din
hai jur.atoñ kā safar vaqt kī hai rāhguzar
nazar ke sāmne hai saaTh miil kā patthar
koī jo pūchhe kiyā kyā hai kuchh kiyā hai agar
to us se kah do ki vo aa.e dekh le aa kar
lagāyā ham ne thā jamhūriyat kā jo paudhā
vo aaj ek ghanerā sā ūñchā bargad hai
aur us ke saa.e meñ kyā badlā kitnā badlā hai
kab intihā hai koī is kī kab koī had hai
chamak dikhāte haiñ zarre ab āsmānoñ ko
zabān mil ga.ī hai saare be-zabānoñ ko
jo zulm sahte the vo ab hisāb māñgte haiñ
savāl karte haiñ aur phir javāb māñgte haiñ
ye kal kī baat hai sadiyoñ purānī baat nahīñ
ki kal talak thā yahāñ kuchh bhī apne haath nahīñ
videshī raaj ne sab kuchh nichoḌ Daalā thā
hamāre desh kā har karghā toḌ Daalā thā
jo mulk suuī kī ḳhātir thā auroñ kā muhtāj
hazāroñ chīzeñ vo duniyā ko de rahā hai aaj
nayā zamāna liye ik umañg aayā hai
karoḌoñ logoñ ke chehre pe rañg aayā hai
ye sab kisī ke karam se na hai ināyat se
yahāñ tak aayā hai bhārat ḳhud apnī mehnat se
jo kāmyābī hai us kī ḳhushī to puurī hai
magar ye yaad bhī rakhnā bahut zarūrī hai
ki dāstān hamārī abhī adhūrī hai
bahut huā hai magar phir bhī ye kamī to hai
bahut se hoñThoñ pe muskān aa ga.ī lekin
bahut sī āñkheñ hai jin meñ abhī namī to hai
yahī jagah thī yahī din thā aur yahī lamhāt
yahīñ to dekhā thā ik ḳhvāb sochī thī ik baat
musāfiroñ ke diloñ meñ ḳhayāl aatā hai
har ik zamīr ke aage savāl aatā hai
vo baat yaad hai ab tak hameñ ki bhuul ga.e
vo ḳhvāb ab bhī salāmat hai yā fuzūl ga.e
chale the dil meñ liye jo irāde puure hue
ye kaun hai ki jo yādoñ meñ charḳhā kat.tā hai
ye kaun hai jo hameñ aaj bhī batātā hai
hai va.ada ḳhud se nibhānā hameñ agar apnā
to kārvāñ nahīñ ruk paa.e bhuul kar apnā
hai thoḌī duur abhī sapnoñ kā nagar apnā
musāfiro abhī baaqī hai kuchh safar apnā
yahi jagah thi yahi din tha aur yahi lamhat
saron pe chhai thi sadiyon se ek jo kali raat
isi jagah isi din to mili thi us ko mat
isi jagah isi din to hua tha ye elan
andhere haar gae zindabaad hindostan
yahin to hum ne kaha tha ye kar dikhana hai
jo zaKHm tan pe hai bhaarat ke us ko bharna hai
jo dagh mathe pe bhaarat ke hai miTana hai
yahin to khai thi hum sab ne ye qasam us din
yahin se nikle the apne safar pe hum us din
yahin tha gunj uTha wande-matram us din
hai juraton ka safar waqt ki hai rahguzar
nazar ke samne hai saTh mil ka patthar
koi jo puchhe kiya kya hai kuchh kiya hai agar
to us se kah do ki wo aae dekh le aa kar
lagaya hum ne tha jamhuriyat ka jo paudha
wo aaj ek ghanera sa uncha bargad hai
aur us ke sae mein kya badla kitna badla hai
kab intiha hai koi is ki kab koi had hai
chamak dikhate hain zarre ab aasmanon ko
zaban mil gai hai sare be-zabanon ko
jo zulm sahte the wo ab hisab mangte hain
sawal karte hain aur phir jawab mangte hain
ye kal ki baat hai sadiyon purani baat nahin
ki kal talak tha yahan kuchh bhi apne hath nahin
wideshi raj ne sab kuchh nichoD Dala tha
hamare desh ka har kargha toD Dala tha
jo mulk sui ki KHatir tha auron ka muhtaj
hazaron chizen wo duniya ko de raha hai aaj
naya zamana liye ek umang aaya hai
karoDon logon ke chehre pe rang aaya hai
ye sab kisi ke karam se na hai inayat se
yahan tak aaya hai bhaarat KHud apni mehnat se
jo kaamyabi hai us ki KHushi to puri hai
magar ye yaad bhi rakhna bahut zaruri hai
ki dastan hamari abhi adhuri hai
bahut hua hai magar phir bhi ye kami to hai
bahut se honThon pe muskan aa gai lekin
bahut si aankhen hai jin mein abhi nami to hai
yahi jagah thi yahi din tha aur yahi lamhat
yahin to dekha tha ek KHwab sochi thi ek baat
musafiron ke dilon mein KHayal aata hai
har ek zamir ke aage sawal aata hai
wo baat yaad hai ab tak hamein ki bhul gae
wo KHwab ab bhi salamat hai ya fuzul gae
chale the dil mein liye jo irade pure hue
ye kaun hai ki jo yaadon mein charKHa katta hai
ye kaun hai jo hamein aaj bhi batata hai
hai wada KHud se nibhana hamein agar apna
to karwan nahin ruk pae bhul kar apna
hai thoDi dur abhi sapnon ka nagar apna
musafiro abhi baqi hai kuchh safar apna
- Book : Lava (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.