pandrah-august
Interesting Fact
Printed : Hamari Zaban, 6 July 1962 ،
ai laila-e-jamhūriyat
ai dilbar-e-hindostāñ
tujh se faroġh-e-sham.a-e-shab
mahfil meñ lau kī ibtidā
ahl-e-vafā ke des meñ
tārīḳh-e-nau kī ibtidā
zulmat-bad-āmāñ ḳhaak par
sūraj kī zau kī ibtidā
har lab pe terī dāstāñ
zulfeñ tirī ambar-fashāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
tū apne dast-e-nāz meñ
ik ḳhushnumā parcham liye
apne jilau meñ nau-ba-nau
ḳhushiyoñ kā ik aalam liye
manzil ke raahī ke liye
ik rau liye ik rum liye
hañstī huī gaatī huī
āvāz sī detī huī
sañgīt kī har taan meñ
dars-e-amal detī huī
ban kar umañgoñ kā nishāñ
aa.ī hamāre darmiyāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
ab jagmagātī raah hai
aur rahravoñ ke qāfile
ab tez haiñ sab ke qadam
ab miT rahe haiñ fāsle
ab zindagī hai vajd meñ
ab jāgte haiñ valvale
thak kar koī sotā nahīñ
ab peḌ ke saa.e tale
naġhmāt-e-āzādī kī dhun
kitnī junūñ-añgez hai
ab nashsha-e-mai hai sivā
ab saaz kī lai tez hai
ab ruuh ko hāsil yahāñ
sad ishrat-e-parvez hai
masrūr haiñ pīr-o-javāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
terī had-e-shādāb meñ
gañg-o-jaman ābād haiñ
kohsār ke haiñ silsile
dasht-o-daman ābād haiñ
ahl-e-yaqīñ ābād haiñ
arbāb-e-fan ābād haiñ
mahtāb aur taare liye
niile gagan ābād haiñ
jannat-nishāñ kashmīr ke
rañgīñ chaman ābād haiñ
jo haiñ hamārī aabrū
haiñ jamn ke ham sab pāsbāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
aa ham tire āñchal tale
parcham tirā ūñchā kareñ
terī hifāzat ke liye
saif o qalam yakjā kareñ
tujh ko banā.eñ kāmrāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
mafhūm-e-āzādī hai kyā
nūr-e-sahar kī justujū
kyā hai matā-e-hurriyat
insāñ ke dil kī aarzū
sad-āfrīñ bar-daur-e-mai
āzād haiñ jām-o-subū
āzād hai paa.el kī dhun
āzād hai zulfoñ kī bū
āzād hai soz-e-jigar
āzād hai dil kā lahū
āzād hai zauq-e-safar
āzād hai jiine kī ḳhū
jaa.e na kyuuñ dil kī lagan
mahfil-ba-mahfil kū-ba-kū
sad marhabā puurī huī
vo hasrat-e-kaif-e-numū
jis ke sabab barbād thā
sadiyoñ se apnā kārvāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
tū zulmatoñ ke sail meñ
sham-e-farozāñ ban ga.ī
shab-tāb ufuq par hind ke
nūr-e-daraḳhshāñ ban ga.ī
vādī-e-nik.hat-bez meñ
jū-e-ḳhirāmāñ ban ga.ī
ḳhushbū se jis kī chaar sū
vo zulf-e-jānāñ ban ga.ī
dil kā sukūñ ārām-e-jāñ
ai dilbar-e-hindostāñ
ai laila-e-jamhuriyat
ai dilbar-e-hindostan
tujh se farogh-e-shama-e-shab
mahfil mein lau ki ibtida
ahl-e-wafa ke des mein
tariKH-e-nau ki ibtida
zulmat-bad-aman KHak par
suraj ki zau ki ibtida
har lab pe teri dastan
zulfen teri ambar-fashan
ai dilbar-e-hindostan
tu apne dast-e-naz mein
ek KHushnuma parcham liye
apne jilau mein nau-ba-nau
KHushiyon ka ek aalam liye
manzil ke rahi ke liye
ek rau liye ek rum liye
hansti hui gati hui
aawaz si deti hui
sangit ki har tan mein
dars-e-amal deti hui
ban kar umangon ka nishan
aai hamare darmiyan
ai dilbar-e-hindostan
ab jagmagati rah hai
aur rahrawon ke qafile
ab tez hain sab ke qadam
ab miT rahe hain fasle
ab zindagi hai wajd mein
ab jagte hain walwale
thak kar koi sota nahin
ab peD ke sae tale
naghmat-e-azadi ki dhun
kitni junun-angez hai
ab nashsha-e-mai hai siwa
ab saz ki lai tez hai
ab ruh ko hasil yahan
sad ishrat-e-parwez hai
masrur hain pir-o-jawan
ai dilbar-e-hindostan
teri had-e-shadab mein
gang-o-jaman aabaad hain
kohsar ke hain silsile
dasht-o-daman aabaad hain
ahl-e-yaqin aabaad hain
arbab-e-fan aabaad hain
mahtab aur tare liye
nile gagan aabaad hain
jannat-nishan kashmir ke
rangin chaman aabaad hain
jo hain hamari aabru
hain jamn ke hum sab pasban
ai dilbar-e-hindostan
aa hum tere aanchal tale
parcham tera uncha karen
teri hifazat ke liye
saif o qalam yakja karen
tujh ko banaen kaamran
ai dilbar-e-hindostan
mafhum-e-azadi hai kya
nur-e-sahar ki justuju
kya hai mata-e-hurriyat
insan ke dil ki aarzu
sad-afrin bar-daur-e-mai
aazad hain jam-o-subu
aazad hai pael ki dhun
aazad hai zulfon ki bu
aazad hai soz-e-jigar
aazad hai dil ka lahu
aazad hai zauq-e-safar
aazad hai jine ki KHu
jae na kyun dil ki lagan
mahfil-ba-mahfil ku-ba-ku
sad marhaba puri hui
wo hasrat-e-kaif-e-numu
jis ke sabab barbaad tha
sadiyon se apna karwan
ai dilbar-e-hindostan
tu zulmaton ke sail mein
sham-e-farozan ban gai
shab-tab ufuq par hind ke
nur-e-daraKHshan ban gai
wadi-e-nikhat-bez mein
ju-e-KHiraman ban gai
KHushbu se jis ki chaar su
wo zulf-e-jaanan ban gai
dil ka sukun aaram-e-jaan
ai dilbar-e-hindostan
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 57)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.