khilta hua gulab hai 26 january
Interesting Fact
Published: Monthly, 'Khilauna', 1978
lamhe na.e haiñ saal nayā aarzū na.ī
himmat nahīñ hai raah na.ī justujū na.ī
lagtī hai ham ko aaj har ik guftugū na.ī
ujlā sā āftāb hai chhabbīs january
khiltā huā gulāb hai chhabbīs january
jis din banā thā mulk meñ ā.īn-e-ḳhush-gavār
apne chaman meñ aa.ī thī jis din na.ī bahār
jo din hai apnī azmat-o-rif.at kī yādgār
us din kā ek baab hai chhabbīs january
khiltā huā gulāb hai chhabbīs january
har rāh-rau kī laal qile par nazar hai aaj
ūñchā jahāñ meñ apne tirañge kā sar hai aaj
āzādī-e-vatan kī ḳhushī auj par hai aaj
raushan hai kāmyāb hai chhabbīs january
khiltā huā gulāb hai chhabbīs january
dil meñ buland hausle rakhte haiñ naujavāñ
svārāj mil gayā hai to bachche haiñ shādmāñ
masrūr zindagī hai irāde haiñ kāmrāñ
ik jashn-e-āb-o-tāb hai chhabbīs january
khiltā huā gulāb hai chhabbīs january
lamhe nae hain sal naya aarzu nai
himmat nahin hai rah nai justuju nai
lagti hai hum ko aaj har ek guftugu nai
ujla sa aaftab hai chhabbis january
khilta hua gulab hai chhabbis january
jis din bana tha mulk mein aain-e-KHush-gawar
apne chaman mein aai thi jis din nai bahaar
jo din hai apni azmat-o-rifat ki yaadgar
us din ka ek bab hai chhabbis january
khilta hua gulab hai chhabbis january
har rah-rau ki lal qile par nazar hai aaj
uncha jahan mein apne tirange ka sar hai aaj
aazadi-e-watan ki KHushi auj par hai aaj
raushan hai kaamyab hai chhabbis january
khilta hua gulab hai chhabbis january
dil mein buland hausle rakhte hain naujawan
swaraj mil gaya hai to bachche hain shadman
masrur zindagi hai irade hain kaamran
ek jashn-e-ab-o-tab hai chhabbis january
khilta hua gulab hai chhabbis january
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.