KHak-e-hind
anjum se baḌh ke terā har zarra zau-fishāñ hai
jalvoñ se tere ab tak husn-e-azal ayaañ hai
andāz-e-dil-farebī jo tujh meñ hai kahāñ hai
faḳhr-e-zamāna tū hai aur nāzish-e-jahāñ hai
uftādgī meñ bhī to ham-auj-e-āsmāñ hai
''ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai''
vo kaj-kulāh tere vo sūrvīr tere
vo teġh-zan kamāñ-kash vo qil.a-gīr tere
nāpaid aaj haiñ go tāj-o-sarīr tere
shāhoñ se haiñ ziyāda lekin faqīr tere
pastī meñ sar-bulandī sab par tirī ayaañ hai
''ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai''
manzar vo jāñ-fazā haiñ aur dil-pazīr tere
jāneñ haiñ tujh pe shaidā aur dil asiir tere
shīrīñ o saaf dariyā haiñ jū-e-shīr tere
haiñ dasht-o-koh-o-sahrā jannat-nazīr tere
āñkheñ jidhar uThāo firdaus kā samāñ hai
''ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai''
tujh ko miTā diyā hai har-chand āsmāñ ne
phūñkā hai aah dil ko soz-e-ġham-e-nihāñ ne
chhoḌī na taab apnī par husn-e-dil-sitāñ ne
jauhar bhare haiñ tujh meñ sannā-e-do-jahāñ ne
fasl-e-ḳhizāñ hai terī phir bhī tū gul-fishāñ hai
''ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai''
go had se baḌh gayā hai rañj-o-malāl terā
ab tak miTā nahīñ hai naqsh-e-jamāl terā
āḳhir kabhī to hogā zāhir kamāl terā
hogā kabhī to āḳhir daur-e-zavāl terā
kab ik ravish pe qaa.em ye daur-e-āsmāñ hai
''ai ḳhāk-e-hind terī azmat meñ kyā gumāñ hai''
anjum se baDh ke tera har zarra zau-fishan hai
jalwon se tere ab tak husn-e-azal ayan hai
andaz-e-dil-farebi jo tujh mein hai kahan hai
faKHr-e-zamana tu hai aur nazish-e-jahan hai
uftadgi mein bhi to ham-auj-e-asman hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
wo kaj-kulah tere wo surwir tere
wo tegh-zan kaman-kash wo qila-gir tere
napaid aaj hain go taj-o-sarir tere
shahon se hain ziyaada lekin faqir tere
pasti mein sar-bulandi sab par teri ayan hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
manzar wo jaan-faza hain aur dil-pazir tere
jaanen hain tujh pe shaida aur dil asir tere
shirin o saf dariya hain ju-e-shir tere
hain dasht-o-koh-o-sahra jannat-nazir tere
aankhen jidhar uThao firdaus ka saman hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
tujh ko miTa diya hai har-chand aasman ne
phunka hai aah dil ko soz-e-gham-e-nihan ne
chhoDi na tab apni par husn-e-dil-sitan ne
jauhar bhare hain tujh mein sanna-e-do-jahan ne
fasl-e-KHizan hai teri phir bhi tu gul-fishan hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
go had se baDh gaya hai ranj-o-malal tera
ab tak miTa nahin hai naqsh-e-jamal tera
aaKHir kabhi to hoga zahir kamal tera
hoga kabhi to aaKHir daur-e-zawal tera
kab ek rawish pe qaem ye daur-e-asman hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 173)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.