jaan beTa KHilafat pe de do
bolīñ amaañ 'mohammad-alī' kī
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
saath tere haiñ 'shaukat-alī' bhī
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
gar zarā sust dekhūñgī tum ko
duudh hargiz na baḳhsūñgī tum ko
maiñ dilāvar na samjhūñgī tum ko
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
ġhaib se merī imdād hogī
ab hukūmat ye barbād hogī
hashr tak ab na ābād hogī
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
khāñsī aa.e agar tum ko jaanī
māñgnā mat hukūmat se paanī
būḌhī amaañ kā kuchh ġham na karnā
kalma paḌh paḌh ḳhilāfat pe marnā
puure us imtihāñ meñ utarnā
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
hote mere agar saat beTe
kartī sab ko ḳhilāfat pe sadqe
haiñ yahī dīn-e-ahmad ke raste
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
hashr meñ hashr barpā karūñgī
pesh-e-haq tum ko le ke chalūñgī
is hukūmat pe da.avā karūñgī
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
chain ham ne 'shafīq' ab na paayā
jaan beTā ḳhilāfat pe de do
bolin aman 'mohammad-ali' ki
jaan beTa KHilafat pe de do
sath tere hain 'shaukat-ali' bhi
jaan beTa KHilafat pe de do
gar zara sust dekhungi tum ko
dudh hargiz na baKHsungi tum ko
main dilawar na samjhungi tum ko
jaan beTa KHilafat pe de do
ghaib se meri imdad hogi
ab hukumat ye barbaad hogi
hashr tak ab na aabaad hogi
jaan beTa KHilafat pe de do
khansi aae agar tum ko jaani
mangna mat hukumat se pani
buDhi aman ka kuchh gham na karna
kalma paDh paDh KHilafat pe marna
pure us imtihan mein utarna
jaan beTa KHilafat pe de do
hote mere agar sat beTe
karti sab ko KHilafat pe sadqe
hain yahi din-e-ahmad ke raste
jaan beTa KHilafat pe de do
hashr mein hashr barpa karungi
pesh-e-haq tum ko le ke chalungi
is hukumat pe dawa karungi
jaan beTa KHilafat pe de do
chain hum ne 'shafiq' ab na paya
jaan beTa KHilafat pe de do
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 593)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.