hubb-e-watan
ai sip.har-e-barīñ ke sayyāro
ai fazā-e-zamīñ ke gul-zāro
ai pahāḌoñ kī dil-fareb fazā
ai lab-e-jū kī ThanDī ThanDī havā
ai anādil ke naġhma-e-saharī
ai shab-e-māhtāb tāroñ bharī
ai nasīm-e-bahār ke jhoñko
dahr-e-nā-pā.edār ke dhoko
tum har ik haal meñ ho yuuñ to aziiz
the vatan meñ magar kuchh aur hī chiiz
jab vatan meñ hamārā thā ramnā
tum se dil baaġh baaġh thā apnā
tum mirī dil-lagī ke sāmāñ the
tum mire dard-e-dil ke darmāñ the
tum se kaTtā thā rañj-e-tanhā.ī
tum se paatā thā dil shakebā.ī
aan ik ik tumhārī bhātī thī
jo adā thī vo jī lubhātī thī
karte the jab tum apnī ġham-ḳhvārī
dhoī jaatī thiiñ kulfateñ saarī
jab havā khāne baaġh jaate the
ho ke ḳhush-hāl ghar meñ aate the
baiTh jaate the jab kabhī lab-e-āb
dho ke uThte the dil ke daaġh shitāb
koh o sahrā o āsmān o zamīñ
sab mirī dil-lagī kī shakleñ thiiñ
par chhuTā jis se apnā mulk o dayār
jī huā tum se ḳhud-ba-ḳhud bezār
na guloñ kī adā ḳhush aatī hai
na sadā bulbuloñ kī bhātī hai
sair-e-gulshan hai jī kā ik janjāl
shab-e-mahtāb jaan ko hai vabāl
koh o sahrā se tā lab-e-dariyā
jis taraf jaa.eñ jī nahīñ lagtā
kyā hue vo din aur vo rāteñ
tum meñ aglī sī ab nahīñ bāteñ
ham hī ġhurbat meñ ho ga.e kuchh aur
yā tumhāre badal ga.e kuchh taur
go vahī ham haiñ aur vahī duniyā
par nahīñ ham ko lutf duniyā kā
ai vatan ai mire bahisht-e-barīñ
kyā hue tere āsmān o zamīñ
raat aur din kā vo samāñ na rahā
vo zamīñ aur vo āsmāñ na rahā
terī duurī hai morid-e-ālām
tere chhuTne se chhuT gayā ārām
kaaTe khātā hai baaġh bin tere
gul haiñ nazroñ meñ daaġh bin tere
miT gayā naqsh kāmrānī kā
tujh se thā lutf zindagānī kā
jo ki rahte haiñ tujh se duur sadā
in ko kyā hogā zindagī kā mazā
ho gayā yaañ to do hī din meñ ye haal
tujh bin ek ek pal hai ik ik saal
sach batā to sabhī ko bhātā hai
yā ki mujh se hī terā naatā hai
maiñ hī kartā huuñ tujh pe jaan nisār
yā ki duniyā hai terī āshiq-e-zār
kyā zamāne ko tū aziiz nahīñ
ai vatan tū to aisī chiiz nahīñ
jin o insān kī hayāt hai tū
murġh o maahī kī kā.enāt hai tū
hai nabātāt kā numū tujh se
ruukh tujh bin hare nahīñ hote
sab ko hotā hai tujh se nashv-o-numā
sab ko bhātī hai terī āb-o-havā
terī ik musht-e-ḳhāk ke badle
luuñ na hargiz agar bahisht mile
jaan jab tak na ho badan se judā
koī dushman na ho vatan se havā
hamla jab qaum-e-āryā ne kiyā
aur bajā un kā hind meñ Dañkā
mulk vaale bahut se kaam aa.e
jo bache vo ġhulām kahlā.e
shudr kahlā.e rākshas kahlā.e
rañj pardes ke magar na uThā.e
go ġhulāmī kā lag gayā dhabba
na chhuTā un se des par na chhuTā
qadr ai dil vatan meñ rahne kī
pūchhe pardesiyoñ ke jī se koī
jab milā rām-chandr ko ban-bās
aur niklā vatan se ho ke udaas
baap kā hukm rakh liyā sar par
par chalā saath le ke dāġh-e-jigar
paañv uThtā thā us kā ban kī taraf
aur khiñchtā thā dil vatan kī taraf
guzre ġhurbat meñ is qadar mah-o-sāl
par na bholā ayodhya kā ḳhayāl
des ko ban meñ jī bhaTaktā rahā
dil meñ kāñTā sā ik khaTaktā rahā
tiir ik dil meñ aa ke lagtā thā
aatī thī jab ayodhya kī havā
kaTne chaudah baras hue the muhāl
goyā ek ek jug thā ek ik saal
hue yasrib kī samt jab raahī
sayyed-e-abtahī ke hamrāhī
rishte ulfat ke saare toḌ chale
aur bilkul vatan ko chhoḌ chale
go vatan se chale the ho ke ḳhafā
par vatan meñ thā sab kā jī aTkā
dil-lagī ke bahut mile sāmān
par na bhūle vatan ke registān
dil meñ āThoñ pahar khaTakte the
sañg-reze zamīn-e-bat.hā ke
ghar jafāoñ se jin kī chhūTā thā
dil se rishta na un kā TuuTā thā
huiiñ yūsuf kī saḳhtiyāñ jab duur
aur huā mulk-e-misr par māmūr
misr meñ chaar sū thā hukm ravāñ
aañkh thī jānib-e-vatan nigarāñ
yād-e-kan.āñ jab us ko aatī thī
saltanat saarī bhuul jaatī thī
dukh uThā.e the jis vatan meñ saḳht
taaj bhātā na us baġhair na taḳht
jin se dekhī thī saḳht be-mehrī
lau thī un bhā.iyoñ kī dil ko lagī
ham bhī hubb-e-vatan meñ haiñ go ġharq
ham meñ aur un meñ hai magar ye farq
ham haiñ nām-e-vatan ke dīvāne
vo the ahl-e-vatan ke parvāne
jis ne yūsuf kī dāstāñ hai sunī
jāntā hogā rūedād us kī
misr meñ qaht jab paḌā aa kar
aur huī qaum bhuuk se muztar
kar diyā vaqf un pe baitulmāl
lab tak aane diyā na harf-e-savāl
khatiyāñ aur koThe khol diye
muft saare zaḳhīre tol diye
qāfile ḳhālī haath aate the
aur bharpūr yaañ se jaate the
yuuñ ga.e qaht ke vo saal guzar
jaise bachchoñ kī bhuuk vaqt-e-sahar
ai dil ai banda-e-vatan hoshiyār
ḳhvāb-e-ġhaflat se ho zarā bedār
o sharāb-e-ḳhudī ke matvāle
ghar kī chaukhaT ke chūmne vaale
naam hai kyā isī kā hubb-e-vatan
jis kī tujh ko lagī huī hai lagan
kabhī bachchoñ kā dhyān aatā hai
kabhī yāroñ kā ġham satātā hai
yaad aatā hai apnā shahr kabhī
lau kabhī ahl-e-shahr kī hai lagī
naqsh haiñ dil pe kūcha-o-bāzār
phirte āñkhoñ meñ haiñ dar-o-dīvār
kyā vatan kyā yahī mohabbat hai
ye bhī ulfat meñ koī ulfat hai
is meñ insāñ se kam nahīñ haiñ darind
is se ḳhālī nahīñ chairnd o parind
TukḌe hote haiñ sañg ġhurbat meñ
suukh jaate haiñ ruukh furqat meñ
jā ke kābul meñ aam kā paudā
kabhī parvān chaḌh nahīñ saktā
aa ke kābul se yaañ bihī-o-anār
ho nahīñ sakte bārvar zinhār
machhlī jab chhūTtī hai paanī se
haath dhotī hai zindagānī se
aag se jab huā samundar duur
us ko jiine kā phir nahīñ maqdūr
ghoḌe jab khet se bichhaḌte haiñ
jaan ke laale un ke paḌte haiñ
gaa.e, bhaiñs uuñT ho yā bakrī
apne apne Thikāne ḳhush haiñ sabhī
kahiye hubb-e-vatan isī ko agar
ham se haivāñ nahīñ haiñ kuchh kam-tar
hai koī apnī qaum kā hamdard
nau-e-insāñ kā samjheñ jis ko fard
jis pe itlāq-e-ādmī ho sahīh
jis ko haivāñ pe de sakeñ tarjīh
qaum par koī zad na dekh sake
qaum kā hāl-e-bad na dekh sake
qaum se jaan tak aziiz na ho
qaum se baḌh ke koī chiiz na ho
samjhe un kī ḳhushī ko rāhat-e-jāñ
vaañ jo nau-roz ho to iid ho yaañ
rañj ko un ke samjhe māya-e-ġham
vaañ agar sog ho to yaañ mātam
bhuul jaa.e sab apnī qadr-e-jalīl
dekh kar bhā.iyoñ ko ḳhvār-o-zalīl
jab paḌe un pe gardish-e-aflāk
apnī āsā.ishoñ pe Daal de ḳhaak
baiThe be-fikr kyā ho ham-vatano
uTho ahl-e-vatan ke dost bano
mard ho tum kisī ke kaam aao
varna khaao piyo chale jaao
jab koī zindagī kā lutf uThāo
dil ko dukh bhā.iyoñ ke yaad dilāo
pahno jab koī umda tum poshāk
karo dāman se tā garebāñ chaak
khānā khaao to jī meñ tum sharmāo
ThanDā paanī piyo to ashk bahāo
kitne bhaa.ī tumhāre haiñ nādār
zindagī se hai jin kā dil bezār
naukaroñ kī tumhāre jo hai ġhizā
un ko vo ḳhvāb meñ nahīñ miltā
jis pe tum jūtiyoñ se phirte ho
vaañ mayassar nahīñ vo oḌhne ko
khaao to pahle lo ḳhabar un kī
jin pe biptā hai nīstī kī paḌī
pahno to pahle bhā.iyoñ ko pahnāo
ki hai utran tumhārī jin kā banāv
ek Daalī ke sab haiñ barg-o-samar
hai koī un meñ ḳhushk aur koī tar
sab ko hai ek asl se paivand
koī āzurda hai koī ḳhursand
muqbilo mudabbiroñ ko yaad karo
ḳhush-dilo ġham-zadoñ ko shaad karo
jāgne vaale ġhāfiloñ ko jagāo
tairne vaalo Dūbtoñ ko tirāo
haiñ mile tum ko chashm o gosh agar
lo jo lī jaa.e kor-o-kar kī ḳhabar
tum agar haath paañv rakhte ho
lañgḌe lūloñ ko kuchh sahārā do
tandurustī kā shukr kiyā hai batāo
rañj bīmār bhā.iyoñ kā haTāo
tum agar chāhte ho mulk kī ḳhair
na kisī ham-vatan ko samjho ġhair
ho musalmān us meñ yā hindū
bodh maz.hab ho yā ki ho brahamū
ja.afrī hove yā ki ho hanafī
jīn-mat hove yā ho vaishnavī
sab ko mīThī nigāh se dekho
samjho āñkhoñ kī putliyāñ sab ko
mulk haiñ ittifāq se āzād
shahr haiñ ittifāq se ābād
hind meñ ittifāq hotā agar
khāte ġhairoñ kī Thokareñ kyūñkar
qaum jab ittifāq kho baiThī
apnī pūñjī se haat dho baiThī
ek kā ek ho gayā bad-ḳhvāh
lagī ġhairoñ kī paḌne tum pe nigāh
phir ga.e bhā.iyoñ se jab bhaa.ī
jo na aanī thī vo balā aa.ī
paañv iqbāl ke ukhaḌne lage
mulk par sab ke haath paḌne lage
kabhī tūrāniyoñ ne ghar luuTā
kabhī durrāniyoñ ne zar luuTā
kabhī nādir ne qatl-e-ām kiyā
kabhī mahmūd ne ġhulām kiyā
sab se āḳhir ko le ga.ī baazī
ek shā.ista qaum maġhrib kī
ye bhī tum par ḳhudā kā thā in.aam
ki paḌā tum ko aisī qaum se kaam
varna dum mārne na paate tum
paḌtī jo sar pe vo uThāte tum
mulk rauñde ga.e haiñ pairoñ se
chain kis ko milā hai ġhairoñ se
qaum se jo tumhāre bartāv
socho ai mere pyāro aur sharmāo
ahl-e-daulat ko hai ye istiġhnā
ki nahīñ bhā.iyoñ kī kuchh parvā
shahr meñ qaht kī duhā.ī hai
jān-e-ālam laboñ pe aa.ī hai
bachche ik ghar meñ bilbilāte haiñ
ro ke maañ baap ko rulāte haiñ
koī phirtā hai māñgtā dar dar
hai kahīñ peT se bañdhā patthar
par jo haiñ un meñ sāhib-e-maqdūr
un meñ gintī ke hoñge aise ġhayūr
ki jinheñ bhā.iyoñ kā ġham hogā
apnī rāhat kā dhyān kam hogā
jitne dekhoge pāoge be-dard
dil ke nāmard aur naam ke mard
aish meñ jin ke kaTte haiñ auqāt
iid hai din to shabbarāt hai raat
qaum martī hai bhuuk se to mare
kaam unheñ apne halve-māñDe se
in ko ab tak ḳhabar nahīñ aslan
shahr meñ bhaav kyā hai ġhalle kā
ġhalla arzāñ hai in dinoñ ki girāñ
kaal hai shahr meñ paḌā ki samāñ
kaal kyā shai hai kis ko kahte haiñ bhuuk
bhuuk meñ kyūñki marte haiñ maflūk
ser bhūke kī qadr kyā samjhe
us ke nazdīk sab haiñ peT bhare
ahl-e-daulat kā sun chuke tum haal
ab suno rūedād-e-ahl-e-kamāl
fāziloñ ko hai fāziloñ se inaad
panditoñ meñ paḌe hue haiñ fasād
hai tabīboñ meñ nok-jhok sadā
ek se ek kā hai thuuk judā
rahne do ahl-e-ilm haiñ is tarah
pahalvānoñ meñ laag ho jis tarah
iidū vāloñ kā hai agar paTThā
sheḳhū vāloñ meñ jā nahīñ saktā
shā.iroñ meñ bhī hai yahī takrār
ḳhushnavesoñ ko hai yahī āzār
laakh nekoñ kā kyuuñ na ho ik nek
dekh saktā nahīñ hai ek ko ek
is pe turra ye hai ki ahl-e-hunar
duur samjhe hue haiñ apnā ghar
milī ik gāñTh jis ko haldī kī
us ne samjhā ki maiñ huuñ pansārī
nusḳha ik tib kā jis ko aatā hai
sage-bhā.ī se vo chhupātā hai
jis ko aatā hai phūñknā kushta
hai hamārī taraf se vo gūñgā
jis ko hai kuchh ramal meñ mālūmāt
vo nahīñ kartā sīdhe muñh se baat
baap bhaa.ī ho yā ki ho beTā
bhed paatā nahīñ munajjam kā
kaam kañdle kā jis ko hai ma.alūm
hai zamāne meñ us kī buḳhl kī dhuum
al-ġharaz jis ke paas hai kuchh chiiz
jaan se bhī sivā hai us ko aziiz
qaum par un kā kuchh nahīñ ehsāñ
un kā honā na honā hai yaksāñ
sab kamālāt aur hunar un ke
qabr meñ un ke saath jā.eñge
qaum kyā kah ke un ko ro.egī
naam par kyuuñ ki jaan kho.egī
tarbiyat-yāfta haiñ jo yaañ ke
ḳhvāh b-a hoñ is meñ yā m.a
bharte hubb-e-vatan kā go dam haiñ
par muhibb-e-vatan bahut kam haiñ
qaum ko un se jo umīdeñ thiiñ
ab jo dekhā to sab ġhalat niklīñ
history un kī aur geography
saat parde meñ muñh diye hai paḌī
band us qufl meñ hai ilm un kā
jis kī kunjī kā kuchh nahīñ hai patā
lete haiñ apne dil hī dil meñ maze
goyā gūñge kā guḌ haiñ khaa.e hue
karte phirte haiñ sair-e-gul tanhā
koī paas un ke jā nahīñ saktā
ahl-e-insāf sharm kī jā hai
gar nahīñ buḳhl ye to phir kyā hai
tum ne dekhā hai jo vo sab ko dikhāo
tum ne chakhā hai jo vo sab ko chakhāo
ye jo daulat tumhāre paas hai aaj
ham-vatan is ke haiñ bahut mohtāj
muñh ko ek ik tumhāre hai taktā
ki nikaltā hai muñh se aap ke kyā
aap shā.ista haiñ to apne liye
kuchh sulūk apnī qaum se bhī kiye
mez kursī agar lagāte haiñ aap
qaum se pūchhiye to pun hai na paap
muñDā juutā gar aap ko hai pasand
qaum ko is se fā.eda na gazand
qaum par karte ho agar ehsāñ
to dikhāo kuchh apnā josh-e-nihāñ
kuchh dinoñ aish meñ ḳhalal Daalo
peT meñ jo hai sab ugal Daalo
ilm ko kar do kū-ba-kū arzāñ
hind ko kar dikhāo englistāñ
sunte ho sāma.īn-e-bā-tamkīñ
sunte ho hāzrīn-e-sadr-nashīñ
jo haiñ duniyā meñ qaum ke hamdard
banda-e-qaum un ke haiñ zan o mard
baap kī hai duā ye bahr-e-pisar
qaum kī maiñ banā.ūñ us ko sipar
maañ ḳhudā se ye māñgtī hai murād
qaum par se nisār ho aulād
bhaa.ī aapas meñ karte haiñ paimāñ
tū agar maal de to maiñ duuñ jaañ
ahl-e-himmat kamā ke laate haiñ
ham-vatan fā.ede uThāte haiñ
kahīñ hote haiñ madrase jaarī
daḳhl aur ḳharj jin ke haiñ bhārī
aur kahīñ hote haiñ club qaa.em
mab.has-e-hikmat aur adab qaa.em
nit-na.e khulte haiñ davā-ḳhāne
bante haiñ saikḌoñ shifā-ḳhāne
mulk meñ jo maraz haiñ ālam-gīr
qaum par un kī farz hai tadbīr
haiñ sadā is udheḌ-bun meñ tabīb
ki koī nusḳha haath aa.e ajiib
qaum ko pahuñche manfa.at jis se
mulk meñ phaileñ fā.ede jis ke
khap ga.e kitne ban ke jhāḌoñ meñ
mar ga.e saikḌoñ pahāḌoñ meñ
likhe jab tak jiye safar-nāme
chal diye haath meñ qalam thāme
go safar meñ uThā.e rañj-e-kamāl
kar diyā par vatan ko apne nihāl
haiñ ab in ke gavāh hubb-e-vatan
dar-o-dīvār-e-paris o london
kaam haiñ sab bashar ke ham-vatanoñ
tum se bhī ho sake to mard bano
chhoḌo afsurdagī ko josh meñ aao
bas bahut so.e uTTho hosh meñ aao
qāfile tum se baḌh ga.e kosoñ
rahe jaate ho sab se pīchhe kyuuñ
qāfiloñ se agar milā chāho
mulk aur qaum kā bhalā chāho
gar rahā chāhte ho izzat se
bhā.iyoñ ko nikālo zillat se
un kī izzat tumhārī izzat hai
un kī zillat tumhārī zillat hai
qaum kā mubtadil hai jo insāñ
be-haqīqat hai garche hai sultāñ
qaum duniyā meñ jis kī hai mumtāz
hai faqīrī meñ bhī vo bā-e.azāz
izzat-e-qaum chāhte ho agar
jā ke phailāo un meñ ilm-o-hunar
zaat kā faḳhr aur nasab kā ġhurūr
uTh ga.e ab jahāñ se ye dastūr
ab na sayyad kā iftiḳhār sahīh
na barhaman ko shudr par tarjīh
huī turkī tamām ḳhānoñ meñ
kaT ga.ī jaḌ se ḳhāndānoñ meñ
qaum kī izzat ab hunar se hai
ilm se yā ki sīm-o-zar se hai
koī din meñ vo daur aa.egā
be-hunar bhiik tak na pā.egā
na raheñge sadā yahī din raat
yaad rakhnā hamārī aaj kī baat
gar nahīñ sunte qaul 'hālī' kā
phir na kahnā ki koī kahtā thā
ai siphar-e-barin ke sayyaro
ai faza-e-zamin ke gul-zaro
ai pahaDon ki dil-fareb faza
ai lab-e-ju ki ThanDi ThanDi hawa
ai anadil ke naghma-e-sahari
ai shab-e-mahtab taron bhari
ai nasim-e-bahaar ke jhonko
dahr-e-na-paedar ke dhoko
tum har ek haal mein ho yun to aziz
the watan mein magar kuchh aur hi chiz
jab watan mein hamara tha ramna
tum se dil bagh bagh tha apna
tum meri dil-lagi ke saman the
tum mere dard-e-dil ke darman the
tum se kaTta tha ranj-e-tanhai
tum se pata tha dil shakebai
aan ek ek tumhaari bhati thi
jo ada thi wo ji lubhati thi
karte the jab tum apni gham-KHwari
dhoi jati thin kulfaten sari
jab hawa khane bagh jate the
ho ke KHush-haal ghar mein aate the
baiTh jate the jab kabhi lab-e-ab
dho ke uThte the dil ke dagh shitab
koh o sahra o aasman o zamin
sab meri dil-lagi ki shaklen thin
par chhuTa jis se apna mulk o dayar
ji hua tum se KHud-ba-KHud bezar
na gulon ki ada KHush aati hai
na sada bulbulon ki bhati hai
sair-e-gulshan hai ji ka ek janjal
shab-e-mahtab jaan ko hai wabaal
koh o sahra se ta lab-e-dariya
jis taraf jaen ji nahin lagta
kya hue wo din aur wo raaten
tum mein agli si ab nahin baaten
hum hi ghurbat mein ho gae kuchh aur
ya tumhaare badal gae kuchh taur
go wahi hum hain aur wahi duniya
par nahin hum ko lutf duniya ka
ai watan ai mere bahisht-e-barin
kya hue tere aasman o zamin
raat aur din ka wo saman na raha
wo zamin aur wo aasman na raha
teri duri hai morid-e-alam
tere chhuTne se chhuT gaya aaram
kaTe khata hai bagh bin tere
gul hain nazron mein dagh bin tere
miT gaya naqsh kaamrani ka
tujh se tha lutf zindagani ka
jo ki rahte hain tujh se dur sada
in ko kya hoga zindagi ka maza
ho gaya yan to do hi din mein ye haal
tujh bin ek ek pal hai ek ek sal
sach bata to sabhi ko bhata hai
ya ki mujh se hi tera nata hai
main hi karta hun tujh pe jaan nisar
ya ki duniya hai teri aashiq-e-zar
kya zamane ko tu aziz nahin
ai watan tu to aisi chiz nahin
jin o insan ki hayat hai tu
murgh o mahi ki kaenat hai tu
hai nabaatat ka numu tujh se
rukh tujh bin hare nahin hote
sab ko hota hai tujh se nashw-o-numa
sab ko bhati hai teri aab-o-hawa
teri ek musht-e-KHak ke badle
lun na hargiz agar bahisht mile
jaan jab tak na ho badan se juda
koi dushman na ho watan se hawa
hamla jab qaum-e-arya ne kiya
aur baja un ka hind mein Danka
mulk wale bahut se kaam aae
jo bache wo ghulam kahlae
shudr kahlae rakshas kahlae
ranj pardes ke magar na uThae
go ghulami ka lag gaya dhabba
na chhuTa un se des par na chhuTa
qadr ai dil watan mein rahne ki
puchhe pardesiyon ke ji se koi
jab mila ram-chandr ko ban-bas
aur nikla watan se ho ke udas
bap ka hukm rakh liya sar par
par chala sath le ke dagh-e-jigar
panw uThta tha us ka ban ki taraf
aur khinchta tha dil watan ki taraf
guzre ghurbat mein is qadar mah-o-sal
par na bhola ayodhya ka KHayal
des ko ban mein ji bhaTakta raha
dil mein kanTa sa ek khaTakta raha
tir ek dil mein aa ke lagta tha
aati thi jab ayodhya ki hawa
kaTne chaudah baras hue the muhaal
goya ek ek jug tha ek ek sal
hue yasrib ki samt jab rahi
sayyed-e-abtahi ke hamrahi
rishte ulfat ke sare toD chale
aur bilkul watan ko chhoD chale
go watan se chale the ho ke KHafa
par watan mein tha sab ka ji aTka
dil-lagi ke bahut mile saman
par na bhule watan ke registan
dil mein aaThon pahar khaTakte the
sang-reze zamin-e-batha ke
ghar jafaon se jin ki chhuTa tha
dil se rishta na un ka TuTa tha
huin yusuf ki saKHtiyan jab dur
aur hua mulk-e-misr par mamur
misr mein chaar su tha hukm rawan
aankh thi jaanib-e-watan nigaran
yaad-e-kanan jab us ko aati thi
saltanat sari bhul jati thi
dukh uThae the jis watan mein saKHt
taj bhata na us baghair na taKHt
jin se dekhi thi saKHt be-mehri
lau thi un bhaiyon ki dil ko lagi
hum bhi hubb-e-watan mein hain go gharq
hum mein aur un mein hai magar ye farq
hum hain nam-e-watan ke diwane
wo the ahl-e-watan ke parwane
jis ne yusuf ki dastan hai suni
jaanta hoga ruedad us ki
misr mein qaht jab paDa aa kar
aur hui qaum bhuk se muztar
kar diya waqf un pe baitulmal
lab tak aane diya na harf-e-sawal
khatiyan aur koThe khol diye
muft sare zaKHire tol diye
qafile KHali hath aate the
aur bharpur yan se jate the
yun gae qaht ke wo sal guzar
jaise bachchon ki bhuk waqt-e-sahar
ai dil ai banda-e-watan hoshiyar
KHwab-e-ghaflat se ho zara bedar
o sharab-e-KHudi ke matwale
ghar ki chaukhaT ke chumne wale
nam hai kya isi ka hubb-e-watan
jis ki tujh ko lagi hui hai lagan
kabhi bachchon ka dhyan aata hai
kabhi yaron ka gham satata hai
yaad aata hai apna shahr kabhi
lau kabhi ahl-e-shahr ki hai lagi
naqsh hain dil pe kucha-o-bazar
phirte aankhon mein hain dar-o-diwar
kya watan kya yahi mohabbat hai
ye bhi ulfat mein koi ulfat hai
is mein insan se kam nahin hain darind
is se KHali nahin chairnd o parind
TukDe hote hain sang ghurbat mein
sukh jate hain rukh furqat mein
ja ke kabul mein aam ka pauda
kabhi parwan chaDh nahin sakta
aa ke kabul se yan bihi-o-anar
ho nahin sakte barwar zinhaar
machhli jab chhuTti hai pani se
hath dhoti hai zindagani se
aag se jab hua samundar dur
us ko jine ka phir nahin maqdur
ghoDe jab khet se bichhaDte hain
jaan ke lale un ke paDte hain
gae, bhains unT ho ya bakri
apne apne Thikane KHush hain sabhi
kahiye hubb-e-watan isi ko agar
hum se haiwan nahin hain kuchh kam-tar
hai koi apni qaum ka hamdard
nau-e-insan ka samjhen jis ko fard
jis pe itlaq-e-admi ho sahih
jis ko haiwan pe de saken tarjih
qaum par koi zad na dekh sake
qaum ka haal-e-bad na dekh sake
qaum se jaan tak aziz na ho
qaum se baDh ke koi chiz na ho
samjhe un ki KHushi ko rahat-e-jaan
wan jo nau-roz ho to id ho yan
ranj ko un ke samjhe maya-e-gham
wan agar sog ho to yan matam
bhul jae sab apni qadr-e-jalil
dekh kar bhaiyon ko KHwar-o-zalil
jab paDe un pe gardish-e-aflak
apni aasaishon pe Dal de KHak
baiThe be-fikr kya ho ham-watano
uTho ahl-e-watan ke dost bano
mard ho tum kisi ke kaam aao
warna khao piyo chale jao
jab koi zindagi ka lutf uThao
dil ko dukh bhaiyon ke yaad dilao
pahno jab koi umda tum poshak
karo daman se ta gareban chaak
khana khao to ji mein tum sharmao
ThanDa pani piyo to ashk bahao
kitne bhai tumhaare hain nadar
zindagi se hai jin ka dil bezar
naukaron ki tumhaare jo hai ghiza
un ko wo KHwab mein nahin milta
jis pe tum jutiyon se phirte ho
wan mayassar nahin wo oDhne ko
khao to pahle lo KHabar un ki
jin pe bipta hai nisti ki paDi
pahno to pahle bhaiyon ko pahnao
ki hai utran tumhaari jin ka banaw
ek Dali ke sab hain barg-o-samar
hai koi un mein KHushk aur koi tar
sab ko hai ek asl se paiwand
koi aazurda hai koi KHursand
muqbilo mudabbiron ko yaad karo
KHush-dilo gham-zadon ko shad karo
jagne wale ghafilon ko jagao
tairne walo Dubton ko tirao
hain mile tum ko chashm o gosh agar
lo jo li jae kor-o-kar ki KHabar
tum agar hath panw rakhte ho
langDe lulon ko kuchh sahaara do
tandurusti ka shukr kiya hai batao
ranj bimar bhaiyon ka haTao
tum agar chahte ho mulk ki KHair
na kisi ham-watan ko samjho ghair
ho musalman us mein ya hindu
bodh mazhab ho ya ki ho brahamu
jafri howe ya ki ho hanafi
jin-mat howe ya ho waishnawi
sab ko miThi nigah se dekho
samjho aankhon ki putliyan sab ko
mulk hain ittifaq se aazad
shahr hain ittifaq se aabaad
hind mein ittifaq hota agar
khate ghairon ki Thokaren kyunkar
qaum jab ittifaq kho baiThi
apni punji se hat dho baiThi
ek ka ek ho gaya bad-KHwah
lagi ghairon ki paDne tum pe nigah
phir gae bhaiyon se jab bhai
jo na aani thi wo bala aai
panw iqbaal ke ukhaDne lage
mulk par sab ke hath paDne lage
kabhi turaniyon ne ghar luTa
kabhi durraniyon ne zar luTa
kabhi nadir ne qatl-e-am kiya
kabhi mahmud ne ghulam kiya
sab se aaKHir ko le gai bazi
ek shaista qaum maghrib ki
ye bhi tum par KHuda ka tha inam
ki paDa tum ko aisi qaum se kaam
warna dum marne na pate tum
paDti jo sar pe wo uThate tum
mulk raunde gae hain pairon se
chain kis ko mila hai ghairon se
qaum se jo tumhaare bartaw
socho ai mere pyaro aur sharmao
ahl-e-daulat ko hai ye istighna
ki nahin bhaiyon ki kuchh parwa
shahr mein qaht ki duhai hai
jaan-e-alam labon pe aai hai
bachche ek ghar mein bilbilate hain
ro ke man bap ko rulate hain
koi phirta hai mangta dar dar
hai kahin peT se bandha patthar
par jo hain un mein sahib-e-maqdur
un mein ginti ke honge aise ghayur
ki jinhen bhaiyon ka gham hoga
apni rahat ka dhyan kam hoga
jitne dekhoge paoge be-dard
dil ke namard aur nam ke mard
aish mein jin ke kaTte hain auqat
id hai din to shabbaraat hai raat
qaum marti hai bhuk se to mare
kaam unhen apne halwe-manDe se
in ko ab tak KHabar nahin aslan
shahr mein bhaw kya hai ghalle ka
ghalla arzan hai in dinon ki giran
kal hai shahr mein paDa ki saman
kal kya shai hai kis ko kahte hain bhuk
bhuk mein kyunki marte hain mafluk
ser bhuke ki qadr kya samjhe
us ke nazdik sab hain peT bhare
ahl-e-daulat ka sun chuke tum haal
ab suno ruedad-e-ahl-e-kamal
fazilon ko hai fazilon se inad
panditon mein paDe hue hain fasad
hai tabibon mein nok-jhok sada
ek se ek ka hai thuk juda
rahne do ahl-e-ilm hain is tarah
pahalwanon mein lag ho jis tarah
idu walon ka hai agar paTTha
sheKHu walon mein ja nahin sakta
shairon mein bhi hai yahi takrar
KHushnaweson ko hai yahi aazar
lakh nekon ka kyun na ho ek nek
dekh sakta nahin hai ek ko ek
is pe turra ye hai ki ahl-e-hunar
dur samjhe hue hain apna ghar
mili ek ganTh jis ko haldi ki
us ne samjha ki main hun pansari
nusKHa ek tib ka jis ko aata hai
sage-bhai se wo chhupata hai
jis ko aata hai phunkna kushta
hai hamari taraf se wo gunga
jis ko hai kuchh ramal mein malumat
wo nahin karta sidhe munh se baat
bap bhai ho ya ki ho beTa
bhed pata nahin munajjam ka
kaam kandle ka jis ko hai malum
hai zamane mein us ki buKHl ki dhum
al-gharaz jis ke pas hai kuchh chiz
jaan se bhi siwa hai us ko aziz
qaum par un ka kuchh nahin ehsan
un ka hona na hona hai yaksan
sab kamalat aur hunar un ke
qabr mein un ke sath jaenge
qaum kya kah ke un ko roegi
nam par kyun ki jaan khoegi
tarbiyat-yafta hain jo yan ke
KHwah b-a hon is mein ya ma
bharte hubb-e-watan ka go dam hain
par muhibb-e-watan bahut kam hain
qaum ko un se jo umiden thin
ab jo dekha to sab ghalat niklin
history un ki aur geography
sat parde mein munh diye hai paDi
band us qufl mein hai ilm un ka
jis ki kunji ka kuchh nahin hai pata
lete hain apne dil hi dil mein maze
goya gunge ka guD hain khae hue
karte phirte hain sair-e-gul tanha
koi pas un ke ja nahin sakta
ahl-e-insaf sharm ki ja hai
gar nahin buKHl ye to phir kya hai
tum ne dekha hai jo wo sab ko dikhao
tum ne chakha hai jo wo sab ko chakhao
ye jo daulat tumhaare pas hai aaj
ham-watan is ke hain bahut mohtaj
munh ko ek ek tumhaare hai takta
ki nikalta hai munh se aap ke kya
aap shaista hain to apne liye
kuchh suluk apni qaum se bhi kiye
mez kursi agar lagate hain aap
qaum se puchhiye to pun hai na pap
munDa juta gar aap ko hai pasand
qaum ko is se faeda na gazand
qaum par karte ho agar ehsan
to dikhao kuchh apna josh-e-nihan
kuchh dinon aish mein KHalal Dalo
peT mein jo hai sab ugal Dalo
ilm ko kar do ku-ba-ku arzan
hind ko kar dikhao englistan
sunte ho samain-e-ba-tamkin
sunte ho hazrin-e-sadr-nashin
jo hain duniya mein qaum ke hamdard
banda-e-qaum un ke hain zan o mard
bap ki hai dua ye bahr-e-pisar
qaum ki main banaun us ko sipar
man KHuda se ye mangti hai murad
qaum par se nisar ho aulad
bhai aapas mein karte hain paiman
tu agar mal de to main dun jaan
ahl-e-himmat kama ke late hain
ham-watan faede uThate hain
kahin hote hain madrase jari
daKHl aur KHarj jin ke hain bhaari
aur kahin hote hain club qaem
mabhas-e-hikmat aur adab qaem
nit-nae khulte hain dawa-KHane
bante hain saikDon shifa-KHane
mulk mein jo maraz hain aalam-gir
qaum par un ki farz hai tadbir
hain sada is udheD-bun mein tabib
ki koi nusKHa hath aae ajib
qaum ko pahunche manfat jis se
mulk mein phailen faede jis ke
khap gae kitne ban ke jhaDon mein
mar gae saikDon pahaDon mein
likhe jab tak jiye safar-name
chal diye hath mein qalam thame
go safar mein uThae ranj-e-kamal
kar diya par watan ko apne nihaal
hain ab in ke gawah hubb-e-watan
dar-o-diwar-e-paris o london
kaam hain sab bashar ke ham-watanon
tum se bhi ho sake to mard bano
chhoDo afsurdagi ko josh mein aao
bas bahut soe uTTho hosh mein aao
qafile tum se baDh gae koson
rahe jate ho sab se pichhe kyun
qafilon se agar mila chaho
mulk aur qaum ka bhala chaho
gar raha chahte ho izzat se
bhaiyon ko nikalo zillat se
un ki izzat tumhaari izzat hai
un ki zillat tumhaari zillat hai
qaum ka mubtadil hai jo insan
be-haqiqat hai garche hai sultan
qaum duniya mein jis ki hai mumtaz
hai faqiri mein bhi wo ba-eazaz
izzat-e-qaum chahte ho agar
ja ke phailao un mein ilm-o-hunar
zat ka faKHr aur nasab ka ghurur
uTh gae ab jahan se ye dastur
ab na sayyad ka iftiKHar sahih
na barhaman ko shudr par tarjih
hui turki tamam KHanon mein
kaT gai jaD se KHandanon mein
qaum ki izzat ab hunar se hai
ilm se ya ki sim-o-zar se hai
koi din mein wo daur aaega
be-hunar bhik tak na paega
na rahenge sada yahi din raat
yaad rakhna hamari aaj ki baat
gar nahin sunte qaul 'haali' ka
phir na kahna ki koi kahta tha
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 32)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.