hum bhaarat ke rakhwale hain
ham bhārat ke rakhvāle haiñ
sab is ke bachche baale haiñ
kaise ye bihārī kashmīrī
aur kyā haiñ ye uttarpardeshī
kaise punjabi āsāmī
kaise madrāsī bañgālī
sab ke sab bhārat vaale haiñ
sab is ke bachche baale haiñ
sab bhārat ke rakhvāle haiñ
ho nirdhan yā dhanvān koī
ho dharm koī īmān koī
yā batlā.e rahmān koī
yā kahtā ho bhagvān koī
sab is miTTī ke paale haiñ
sab ke sab bhārat vaale haiñ
sab bhārat ke rakhvāle haiñ
shaidā masjid ke manzar kā
yā ho vo pujārī mandir kā
har rahne vaalā is ghar kā
sainik hai ek hī lashkar kā
sab ke sab is ke havāle haiñ
sab ke sab bhārat vaale haiñ
sab bhārat ke rakhvāle haiñ
kyā shaiḳh muġhal sayyad kā chalan
kaise Thākur panDit harījan
kyā chhūt achhūt kā pāgal-pan
sab ek haiñ sab kā ek vatan
jo gore haiñ yā kaale haiñ
sab ke sab bhārat vaale haiñ
sab bhārat ke rakhvāle haiñ
kaisā halkā kaisā bojhal
kavitā ho koī yā ho ġhazal
kyā bal vaalā aur kyā nirbal
bhārat maañ kā sab par āñchal
sab is meñ palne vaale haiñ
sab ke sab bhārat vaale haiñ
sab bhārat ke rakhvāle haiñ
hum bhaarat ke rakhwale hain
sab is ke bachche baale hain
kaise ye bihaari kashmiri
aur kya hain ye uttarpardeshi
kaise punjabi aasami
kaise madrasi bangali
sab ke sab bhaarat wale hain
sab is ke bachche baale hain
sab bhaarat ke rakhwale hain
ho nirdhan ya dhanwan koi
ho dharm koi iman koi
ya batlae rahman koi
ya kahta ho bhagwan koi
sab is miTTi ke pale hain
sab ke sab bhaarat wale hain
sab bhaarat ke rakhwale hain
shaida masjid ke manzar ka
ya ho wo pujari mandir ka
har rahne wala is ghar ka
sainik hai ek hi lashkar ka
sab ke sab is ke hawale hain
sab ke sab bhaarat wale hain
sab bhaarat ke rakhwale hain
kya shaiKH mughal sayyad ka chalan
kaise Thakur panDit harijan
kya chhut achhut ka pagal-pan
sab ek hain sab ka ek watan
jo gore hain ya kale hain
sab ke sab bhaarat wale hain
sab bhaarat ke rakhwale hain
kaisa halka kaisa bojhal
kawita ho koi ya ho ghazal
kya bal wala aur kya nirbal
bhaarat man ka sab par aanchal
sab is mein palne wale hain
sab ke sab bhaarat wale hain
sab bhaarat ke rakhwale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.