east india company ke farzandon se KHitab
kis zabāñ se kah rahe ho aaj tum saudāgaro
dahr meñ insāniyat ke naam ko ūñchā karo
jis ko sab kahte haiñ hitler bheḌiyā hai bheḌiyā
bheḌiye ko maar do golī pa.e-amn-o-baqā
bāġh-e-insānī meñ chalne hī pe hai bād-e-ḳhizāñ
ādamiyyat le rahī hai hichkiyoñ par hichkiyāñ
haath hai hitler kā raḳhsh-e-ḳhud-sarī kī baag par
teġh kā paanī chhiḌak do germany kī aag par
saḳht hairāñ huuñ ki mahfil meñ tumhārī aur ye zikr
nau-e-insānī ke mustaqbil kī ab karte ho fikr
jab yahāñ aa.e the tum saudāgarī ke vāste
nau-e-insānī ke mustaqbil se kiyā vāqif na the
hindiyoñ ke jism meñ kyā rūh-e-āzādī na thī
sach batāo kyā vo insānoñ kī ābādī na thī
apne zulm-e-be-nihāyat kā fasāna yaad hai
company kā phir vo daur-e-mujrimāna yaad hai
lūTte phirte the jab tum kārvāñ-dar-kārvāñ
sar-barahna phir rahī thī daulat-e-hindostāñ
dast-kāroñ ke añgūThe kāTte phirte the tum
sard lāshoñ se gaḌhoñ ko pāTte phirte the tum
san.at-e-hindostāñ par maut thī chhā.ī huī
maut bhī kaisī tumhāre haat kī laa.ī huī
allāh allāh kis qadar insāf ke tālib ho aaj
mīr-ja.afar kī qasam kyā dushman-e-haq thā 'sirāj'
kyā avadh kī begamoñ kā bhī satānā yaad hai
yaad hai jhāñsī kī raanī kā zamāna yaad hai
hijrat-e-sultān-e-dehlī kā samāñ bhī yaad hai
sher-dil 'Tīpū' kī ḳhūnīñ dāstāñ bhī yaad hai
tīsare faaqe meñ ik girte hue ko thāmne
kas ke tum laa.e the sar shāh-e-zafar ke sāmne
yaad to hogī vo maTiyā-burj kī bhī dāstāñ
ab bhī jis kī ḳhaak se uThtā hai rah rah kar dhuāñ
tum ne qaisar-e-bāġh ko dekhā to hogā bārhā
aaj bhī aatī hai jis se haa.e 'aḳhtar' kī sadā
sach kaho kyā hāfize meñ hai vo zulm-e-be-panāh
aaj tak ragōn meñ ik qabr hai jis kī gavāh
zehn meñ hogā ye taaza hindiyoñ kā daaġh bhī
yaad to hogā tumheñ jallianwala-bagh bhī
pūchh lo is se tumhārā naam kyuuñ tābinda hai
'dyer'-e-gurg-e-dahan-ālūd ab bhī zinda hai
vo 'bhagat-singh' ab bhī jis ke ġham meñ dil nāshād hai
us kī gardan meñ jo Daalā thā vo phandā yaad hai
ahl-e-āzādī rahā karte the kis hanjār se
pūchh lo ye qaid-ḳhānoñ ke dar-o-dīvār se
ab bhī hai mahfūz jis par tantana sarkār kā
aaj bhī gūñjī huī hai jin meñ koḌoñ kī sadā
aaj kashtī amn ke amvāj par khete ho kyuuñ
saḳht hairāñ huuñ ki ab tum dars-e-haq dete ho kyuuñ
ahl-e-quvvat dām-e-haq meñ to kabhī aate nahīñ
''bankī'' aḳhlāq ko ḳhatre meñ bhī laate nahīñ
lekin aaj aḳhlāq kī talqīn farmāte ho tum
ho na ho apne meñ ab quvvat nahīñ paate ho tum
ahl-e-haq raushan-nazar haiñ ahl-e-bātin kor haiñ
ye to haiñ aqvāl un qaumoñ ke jo kamzor haiñ
aaj shāyad manzil-e-quvvat meñ tum rahte nahīñ
jis kī lāThī us kī bhaiñs ab kis liye kahte nahīñ
kyā kahā insāf hai insāñ kā farz-e-avvalīñ
kyā fasād-o-zulm kā ab tum meñ kas baaqī nahīñ
der se baiThe ho naḳhl-e-rāstī kī chhāñv meñ
kyā ḳhudā-nā-karda kuchh moch aa ga.ī hai paañv meñ
guuñj Tāpoñ kī na ābādī na vīrāne meñ hai
ḳhair to hai asp-e-tāzī kyā shifā-ḳhāne meñ hai
aaj kal to har nazar meñ rahm kā andāz hai
kuchh tabī.at kyā nasīb-e-dushmanāñ nā-sāz hai
saañs kyā ukhḌī ki haq ke naam par marne lage
nau-e-insāñ kī havā-ḳhvāhī kā dam bharne lage
zulm bhūle rāgnī insāf kī gaane lage
lag ga.ī hai aag kyā ghar meñ ki chillāne lage
mujrmoñ ke vāste zebā nahīñ ye shor-o-shain
kal 'yazīd' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'
ḳhair ai saudāgaro ab hai to bas is baat meñ
vaqt ke farmān ke aage jhukā do gardaneñ
ik kahānī vaqt likkhegā na.e mazmūn kī
jis kī surḳhī ko zarūrat hai tumhāre ḳhuun kī
vaqt kā farmān apnā ruḳh badal saktā nahīñ
maut Tal saktī hai ab farmān Tal saktā nahīñ
kis zaban se kah rahe ho aaj tum saudagaro
dahr mein insaniyat ke nam ko uncha karo
jis ko sab kahte hain hitler bheDiya hai bheDiya
bheDiye ko mar do goli pae-amn-o-baqa
bagh-e-insani mein chalne hi pe hai baad-e-KHizan
aadamiyyat le rahi hai hichkiyon par hichkiyan
hath hai hitler ka raKHsh-e-KHud-sari ki bag par
tegh ka pani chhiDak do germany ki aag par
saKHt hairan hun ki mahfil mein tumhaari aur ye zikr
nau-e-insani ke mustaqbil ki ab karte ho fikr
jab yahan aae the tum saudagari ke waste
nau-e-insani ke mustaqbil se kiya waqif na the
hindiyon ke jism mein kya ruh-e-azadi na thi
sach batao kya wo insanon ki aabaadi na thi
apne zulm-e-be-nihayat ka fasana yaad hai
company ka phir wo daur-e-mujrimana yaad hai
luTte phirte the jab tum karwan-dar-karwan
sar-barahna phir rahi thi daulat-e-hindostan
dast-karon ke anguThe kaTte phirte the tum
sard lashon se gaDhon ko paTte phirte the tum
sanat-e-hindostan par maut thi chhai hui
maut bhi kaisi tumhaare hat ki lai hui
allah allah kis qadar insaf ke talib ho aaj
mir-jafar ki qasam kya dushman-e-haq tha 'siraj'
kya awadh ki begamon ka bhi satana yaad hai
yaad hai jhansi ki rani ka zamana yaad hai
hijrat-e-sultan-e-dehli ka saman bhi yaad hai
sher-dil 'Tipu' ki KHunin dastan bhi yaad hai
tisare faqe mein ek girte hue ko thamne
kas ke tum lae the sar shah-e-zafar ke samne
yaad to hogi wo maTiya-burj ki bhi dastan
ab bhi jis ki KHak se uThta hai rah rah kar dhuan
tum ne qaisar-e-bagh ko dekha to hoga barha
aaj bhi aati hai jis se hae 'aKHtar' ki sada
sach kaho kya hafize mein hai wo zulm-e-be-panah
aaj tak ragoon mein ek qabr hai jis ki gawah
zehn mein hoga ye taza hindiyon ka dagh bhi
yaad to hoga tumhein jallianwala-bagh bhi
puchh lo is se tumhaara nam kyun tabinda hai
'dyer'-e-gurg-e-dahan-alud ab bhi zinda hai
wo 'bhagat-singh' ab bhi jis ke gham mein dil nashad hai
us ki gardan mein jo Dala tha wo phanda yaad hai
ahl-e-azadi raha karte the kis hanjar se
puchh lo ye qaid-KHanon ke dar-o-diwar se
ab bhi hai mahfuz jis par tantana sarkar ka
aaj bhi gunji hui hai jin mein koDon ki sada
aaj kashti amn ke amwaj par khete ho kyun
saKHt hairan hun ki ab tum dars-e-haq dete ho kyun
ahl-e-quwwat dam-e-haq mein to kabhi aate nahin
banki aKHlaq ko KHatre mein bhi late nahin
lekin aaj aKHlaq ki talqin farmate ho tum
ho na ho apne mein ab quwwat nahin pate ho tum
ahl-e-haq raushan-nazar hain ahl-e-baatin kor hain
ye to hain aqwal un qaumon ke jo kamzor hain
aaj shayad manzil-e-quwwat mein tum rahte nahin
jis ki laThi us ki bhains ab kis liye kahte nahin
kya kaha insaf hai insan ka farz-e-awwalin
kya fasad-o-zulm ka ab tum mein kas baqi nahin
der se baiThe ho naKHl-e-rasti ki chhanw mein
kya KHuda-na-karda kuchh moch aa gai hai panw mein
gunj Tapon ki na aabaadi na virane mein hai
KHair to hai asp-e-tazi kya shifa-KHane mein hai
aaj kal to har nazar mein rahm ka andaz hai
kuchh tabiat kya nasib-e-dushmanan na-saz hai
sans kya ukhDi ki haq ke nam par marne lage
nau-e-insan ki hawa-KHwahi ka dam bharne lage
zulm bhule ragni insaf ki gane lage
lag gai hai aag kya ghar mein ki chillane lage
mujrmon ke waste zeba nahin ye shor-o-shain
kal 'yazid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'
KHair ai saudagaro ab hai to bas is baat mein
waqt ke farman ke aage jhuka do gardanen
ek kahani waqt likkhega nae mazmun ki
jis ki surKHi ko zarurat hai tumhaare KHun ki
waqt ka farman apna ruKH badal sakta nahin
maut Tal sakti hai ab farman Tal sakta nahin
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 351)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.