zabanon ka bosa
zabānoñ ke ras meñ ye kaisī mahak hai
ye bosa ki jis se mohabbat kī sahbā kī uḌtī hai ḳhushbū
ye bad-mast ḳhushbū jo gahrā ġhunūda nasha lā rahī hai
ye kaisā nasha hai
mere zehn ke reze reze meñ ek aañkh sī khul ga.ī hai
tum apnī zabāñ mere muñh meñ rakhe jaise pātāl se merī jaañ khīñchte ho
ye bhīgā huā garm o tārīk bosa
amāvas kī kaalī barastī huī raat jaise umaDtī chalī aa rahī hai
kahīñ koī saa.at azal se ramīda
mirī ruuh ke dasht meñ uḌ rahī thī
vo saa.at qarīñ-tar chalī aa rahī hai
mujhe aisā lagtā hai
tārīkiyoñ ke
larazte hue pul ko
maiñ paar kartī chalī jā rahī huuñ
ye pul ḳhatm hone ko hai
aur ab
us ke aage
kahīñ raushnī hai
Deep kiss
zabanon ke ras mein ye kaisi mahak hai
ye bosa ki jis se mohabbat ki sahba ki uDti hai KHushbu
ye bad-mast KHushbu jo gahra ghunuda nasha la rahi hai
ye kaisa nasha hai
mere zehn ke reze reze mein ek aankh si khul gai hai
tum apni zaban mere munh mein rakhe jaise patal se meri jaan khinchte ho
ye bhiga hua garm o tarik bosa
amawas ki kali barasti hui raat jaise umaDti chali aa rahi hai
kahin koi saat azal se ramida
meri ruh ke dasht mein uD rahi thi
wo saat qarin-tar chali aa rahi hai
mujhe aisa lagta hai
tarikiyon ke
larazte hue pul ko
main par karti chali ja rahi hun
ye pul KHatm hone ko hai
aur ab
us ke aage
kahin raushni hai
Deep kiss
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.