wo mar chuka hai
vo jis ke raste pe baal khole
nagar kī sab laḌkiyāñ khaḌī haiñ
vo mar chukā hai
vo mar chukā hai
ki jis kī ḳhātir nagar kī nau umr laḌkiyoñ ne
badan kī ḳhush-rañg zīnatoñ ko
chhupā ke rakkhā
jinhoñ ne betāb hiddatoñ ko
badan kī phaT paḌtī shiddatoñ ko
sambhāle rakkhā
jinhoñ ne āñkhoñ ke nam ko sharm-o-hayā ke āñchal kī oT Dhāñpā
vo mar chukā hai
vo jis ke raste pe baal khole
nagar kī sab laḌkiyāñ khaḌī haiñ
nagar kī sab laḌkiyāñ pukāreñ
badal ke vo bhes bādaloñ kā
hamāre taaza kuñvāre jismoñ kī soñdhī miTTī se aa ke lipTe
hamārā ḳhuun buuñd buuñd
gūñdhe
ham is ke saa.e se hāmila huuñ
nagar kī sab laḌkiyāñ pukāreñ
kabhī vo gūñje gajar kī sūrat
hamāre sunsān gumbadoñ meñ
kabhī vo bhaḌke alaav ban kar
hamāre tā yak tāqchoñ meñ
kabhī vo jismoñ kī bañsiyoñ meñ
shigāf Daale
lazīz dardīlā giit ban kar
laboñ se nikle
kabhī vo chamke sitāra ban kar
hamārī kokhoñ meñ phuul mahkeñ
hamārī kokhoñ meñ phal janam le
nagar kī sab laḌkiyāñ pukāreñ
nagar kī sab laḌkiyāñ pukāreñ
hamārī ḳhvāhish vo duudh ban kar
hamārī zarḳhez chhātiyoñ kī namī meñ utre
hamārī ḳhvāhish hamāre bachche
usī ke hāthoñ meñ aañkh kholīñ
ham us ke saa.e se hāmila hoñ
nagar kī sab laḌkiyāñ pukāreñ
kabhī vo pichhle pahar darīchoñ pe khulte mahtāb se ye kahtīñ
kahāñ hai vo shahsavār jis ko
ba-vaqt ruḳhsat gale meñ ham ne
safed phūloñ ke haar Daale
vo phuul kab surḳh phuul ban kar
hamārī vīrān ḳhvāb-gāhoñ kī sej hoñge
sindūr kab kab maiñ maiñ gā
ye phuul kab surḳh phuul hoñge
kabhī vo tanhā barāmde ke sutūn se lipTī
lachaktī beloñ ke zard pattoñ se pūchhtīñ ye
bahār kī rut kahāñ khaḌī hai
ye phuul ab kis se khileñge
bahār kī rut abhī kahāñ hai
har ik musāfir ko roktīñ vo
batāo vo shahsavār ab kab
nagar ko lauTegā pūchhtīñ vo
kuñvāre lamhoñ kā bhed kuñvāra
kuñvāre gītoñ kī lai kuñvārī
kuñvāre jismoñ kī kachchī kaliyoñ kā nam kuñvāra
nagar kī tamām nau-umr laḌkiyoñ ne
kalī kalī ko sambhāle rakkhā
ki vo agar aa.e os ban kar
to qatra qatra kalī meñ utre
kalī ko khole
magar vo lafzoñ ke dā.eroñ ke safar se guzrā
purānī sunsān sīḌhiyoñ ke bhañvar se niklā
jo ghar se bāhar hazār anjāne rāstoñ par bikhar gayā thā
ki bujhte sūraj kā khoj paa.e
har ek saa.e kā bhed khole
jo apnī āñkhoñ meñ ḳhvāhishoñ kā alaav le kar
añdhere jañgal meñ chal rahā thā
jo pūchhtā thā
gyaan kiyā hai
jo pūchhtā thā najāt kis meñ hai
asl kyā hai
vo mar chukā hai
vo jis ke raste pe baal khole
nagar kī sab laḌkiyāñ khaḌī haiñ
wo jis ke raste pe baal khole
nagar ki sab laDkiyan khaDi hain
wo mar chuka hai
wo mar chuka hai
ki jis ki KHatir nagar ki nau umr laDkiyon ne
badan ki KHush-rang zinaton ko
chhupa ke rakkha
jinhon ne betab hiddaton ko
badan ki phaT paDti shiddaton ko
sambhaale rakkha
jinhon ne aankhon ke nam ko sharm-o-haya ke aanchal ki oT Dhanpa
wo mar chuka hai
wo jis ke raste pe baal khole
nagar ki sab laDkiyan khaDi hain
nagar ki sab laDkiyan pukaren
badal ke wo bhes baadalon ka
hamare taza kunware jismon ki sondhi miTTi se aa ke lipTe
hamara KHun bund bund
gundhe
hum is ke sae se hamila hun
nagar ki sab laDkiyan pukaren
kabhi wo gunje gajar ki surat
hamare sunsan gumbadon mein
kabhi wo bhaDke alaw ban kar
hamare ta yak taqchon mein
kabhi wo jismon ki bansiyon mein
shigaf Dale
laziz dardila git ban kar
labon se nikle
kabhi wo chamke sitara ban kar
hamari kokhon mein phul mahken
hamari kokhon mein phal janam le
nagar ki sab laDkiyan pukaren
nagar ki sab laDkiyan pukaren
hamari KHwahish wo dudh ban kar
hamari zarKHez chhatiyon ki nami mein utre
hamari KHwahish hamare bachche
usi ke hathon mein aankh kholin
hum us ke sae se hamila hon
nagar ki sab laDkiyan pukaren
kabhi wo pichhle pahar darichon pe khulte mahtab se ye kahtin
kahan hai wo shahsawar jis ko
ba-waqt ruKHsat gale mein hum ne
safed phulon ke haar Dale
wo phul kab surKH phul ban kar
hamari viran KHwab-gahon ki sej honge
sindur kab kab main main ga
ye phul kab surKH phul honge
kabhi wo tanha baramde ke sutun se lipTi
lachakti belon ke zard patton se puchhtin ye
bahaar ki rut kahan khaDi hai
ye phul ab kis se khilenge
bahaar ki rut abhi kahan hai
har ek musafir ko roktin wo
batao wo shahsawar ab kab
nagar ko lauTega puchhtin wo
kunware lamhon ka bhed kunwara
kunware giton ki lai kunwari
kunware jismon ki kachchi kaliyon ka nam kunwara
nagar ki tamam nau-umr laDkiyon ne
kali kali ko sambhaale rakkha
ki wo agar aae os ban kar
to qatra qatra kali mein utre
kali ko khole
magar wo lafzon ke daeron ke safar se guzra
purani sunsan siDhiyon ke bhanwar se nikla
jo ghar se bahar hazar anjaane raston par bikhar gaya tha
ki bujhte suraj ka khoj pae
har ek sae ka bhed khole
jo apni aankhon mein KHwahishon ka alaw le kar
andhere jangal mein chal raha tha
jo puchhta tha
gyan kiya hai
jo puchhta tha najat kis mein hai
asl kya hai
wo mar chuka hai
wo jis ke raste pe baal khole
nagar ki sab laDkiyan khaDi hain
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 56)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.