sargoshi
raat par nigāh rahe!
ye hamāre saa.e churāne aa.ī hai
magar charāġh kī lau kis ḳhauf se kaañp rahī hai?
aao use apne lams kā hausla deñ
varna badan to hamāre lams baasī kar dete haiñ
uuñ huuñ
kapḌe nahīñ, badan utaar kar aao
dekhūñ to
merī ruuh par tumhārā badan puurā bhī aatā hai?
raat par nigah rahe!
ye hamare sae churane aai hai
magar charagh ki lau kis KHauf se kanp rahi hai?
aao use apne lams ka hausla den
warna badan to hamare lams basi kar dete hain
un hun
kapDe nahin, badan utar kar aao
dekhun to
meri ruh par tumhaara badan pura bhi aata hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.