histiriya
vo ḳhāmosh thī
apne dozaḳh meñ jaltī huī
nīl-gūñ pāniyoñ ke shikanje meñ jakḌī huī
ik machaltī huī mauj-e-mahtāb kī samt lapkī
magar
ret par aa girī siip ugaltī huī
ḳhāmushī ke bhañvar se nikaltī huī
vo hañsī aur hañsī
brazier meñ se bāhar phisaltī huī
ab vo laḌkī nahīñ sirf añgḌā.ī thī
ik tavānā.ī thī
nīm-vā aañkh meñ kasmasātī huī
haath maltī huī
ik samundar thā biphrā huā
ik shab thī na Dhaltī huī
wo KHamosh thi
apne dozaKH mein jalti hui
nil-gun paniyon ke shikanje mein jakDi hui
ek machalti hui mauj-e-mahtab ki samt lapki
magar
ret par aa giri sip ugalti hui
KHamushi ke bhanwar se nikalti hui
wo hansi aur hansi
brazier mein se bahar phisalti hui
ab wo laDki nahin sirf angDai thi
ek tawanai thi
nim-wa aankh mein kasmasati hui
hath malti hui
ek samundar tha biphra hua
ek shab thi na Dhalti hui
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 38)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.