hari-bhari ek shaKH-e-badan par
harī-bharī ik shāḳh-e-badan par
mere laboñ ke lams se phūTe
aise aise phuul
saada se malbūs meñ bhī vo sātoñ rañg khilātī hai
apne husn kī tez mahak se
logoñ ke amboh meñ baiThī yuuñ ghabrā sī jaatī hai
jaise bāteñ karte koii!
jaatā hai kuchh bhuul
mere laboñ ke lams se phūTe
harī-bharī ek shāḳh-e-badan par
kaise kaise phuul
hari-bhari ek shaKH-e-badan par
mere labon ke lams se phuTe
aise aise phul
sada se malbus mein bhi wo saton rang khilati hai
apne husn ki tez mahak se
logon ke amboh mein baiThi yun ghabra si jati hai
jaise baaten karte koi!
jata hai kuchh bhul
mere labon ke lams se phuTe
hari-bhari ek shaKH-e-badan par
kaise kaise phul
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 26)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.