ek sakit raat ka azab
mire bedrōm meñ zero ke balb kii...
lahū-rañg raushnī sahmī huī hai
lihāf oḌhe badan TuuTe paḌe haiñ
sirhāne jāgte haiñ narm bose
dahaktī haiñ ḳhumār-ālūd āñkheñ
mahaktī haiñ, ukhaḌtī garm sāñseñ
magar sāñsoñ meñ dil aTke hue haiñ
lahū-rañg raushnī sahmī huī hai
maiñ kachchī niiñd se jaagā huā huuñ
vo kachchī umr kī TuuTī huī hai
mere bedroom mein zero ke balb ki
lahu-rang raushni sahmi hui hai
lihaf oDhe badan TuTe paDe hain
sirhane jagte hain narm bose
dahakti hain KHumar-alud aankhen
mahakti hain, ukhaDti garm sansen
magar sanson mein dil aTke hue hain
lahu-rang raushni sahmi hui hai
main kachchi nind se jaga hua hun
wo kachchi umr ki TuTi hui hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 28)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.