ecstasy
sabz maddham raushnī meñ surḳh āñchal kī dhanak
sard kamre meñ machaltī garm sāñsoñ kī mahak
bāzuoñ ke saḳht halqe meñ koī nāzuk badan
silvaTeñ malbūs par āñchal bhī kuchh Dhalkā huā
garmi-e-ruḳhsār se dahkī huī ThanDī havā
narm zulfoñ se mulā.em uñgliyoñ kī chheḌ-chhāḌ
surḳh hoñToñ par sharārat ke kisī lamhe kā aks
reshmīñ bāñhoñ meñ chūḌī kī kabhī maddham khanak
sharmgīñ lahjoñ meñ dhīre se kabhī chāhat kī baat
do diloñ kī dhaḌkanoñ meñ gūñjtī thī ik sadā
kāñpte hoñToñ pe thī allāh se sirf ik duā
kaash ye lamhe Thahar jaa.eñ Thahar jaa.eñ zarā!
sabz maddham raushni mein surKH aanchal ki dhanak
sard kamre mein machalti garm sanson ki mahak
bazuon ke saKHt halqe mein koi nazuk badan
silwaTen malbus par aanchal bhi kuchh Dhalka hua
garmi-e-ruKHsar se dahki hui ThanDi hawa
narm zulfon se mulaem ungliyon ki chheD-chhaD
surKH honTon par shararat ke kisi lamhe ka aks
reshmin banhon mein chuDi ki kabhi maddham khanak
sharmgin lahjon mein dhire se kabhi chahat ki baat
do dilon ki dhaDkanon mein gunjti thi ek sada
kanpte honTon pe thi allah se sirf ek dua
kash ye lamhe Thahar jaen Thahar jaen zara!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 35)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.