dusre saeran se pahle
añdherā hai
abhī tum apne hoñToñ ko
yūñhī mere laboñ se muttasil rakho
abhī us vaqt tak thāme raho
mere badan ko apnī bāñhoñ se
ki jab tak
ik dhamāke se phaTe
ātish-fishāñ jismoñ kā
aur kitne hī qarnoñ kī chhupī hiddat
bahe laave kī sūrat meñ
ki jab tak
sā.eran kī chīḳhtī makrūh mausīqī
fazā ko phaaḌ de aur jagmagā.eñ bijliyāñ har sū
andhera hai
abhi tum apne honTon ko
yunhi mere labon se muttasil rakho
abhi us waqt tak thame raho
mere badan ko apni banhon se
ki jab tak
ek dhamake se phaTe
aatish-fishan jismon ka
aur kitne hi qarnon ki chhupi hiddat
bahe lawe ki surat mein
ki jab tak
saeran ki chiKHti makruh mausiqi
faza ko phaD de aur jagmagaen bijliyan har su
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 30)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.