aTuT ang
mirā sar tum apne hī zaanū pe rakh kar
mujhe pūchhtī ho!
ki meñ kaun huuñ
kyā huuñ, kaise huuñ?
saare savāloñ ko muTThī meñ rakh kar
zarā merī ik baat san lo
suno! ye tumhāre badan kā ḳhumār-āshnā kaif... narm o musalsal
mujhe lazzatoñ ke umuq meñ liye jā rahā hai
maiñ pal pal kabhī
lahza lahza kabhī
dhīre dhīre kabhī
lamha lamha kabhī
ek dariyā ke phailāv meñ Dūbtā jā rahā huuñ
sharābor tūfān meñ tund lahroñ kī sūrat
nashīle samay
ek āhañg ke saath hachkole khātā huā
maiñ kisī soch kī rau meñ bahtā chalā jā rahā huuñ
mirā dil, mirī jaañ:
donoñ hī mausūm haiñ, us tamavvuj se
jo merī nas nas meñ paiham machaltā huā
ḳhuun ke zer-o-bam kī kahānī sunātā huā
bah rahā hai
ki jis ke har ek lams kī
lazzatoñ, zā.iqoñ meñ
tumhārā koī ḳhvāb hai
jaise mahtāb hai
tum to mere badan kā koī pāra-e-ḳhāk ho
tum koī ġhair ho?
merī ham-zād!
ham kashtī-e-zīst ke bādbāñ kī tanābeñ haiñ do
ek tum, ek maiñ
jin kā mohtāj hai bādbān-e-nafas
ye zamīñ, ye zamāñ
mere hī ahd kī dāstāñ
ham se ābād daa.em bisāt-e-jahāñ
apne āñgan kī phūloñ-bharī kiyāriyāñ
mera sar tum apne hi zanu pe rakh kar
mujhe puchhti ho!
ki mein kaun hun
kya hun, kaise hun?
sare sawalon ko muTThi mein rakh kar
zara meri ek baat san lo
suno! ye tumhaare badan ka KHumar-ashna kaif narm o musalsal
mujhe lazzaton ke umuq mein liye ja raha hai
main pal pal kabhi
lahza lahza kabhi
dhire dhire kabhi
lamha lamha kabhi
ek dariya ke phailaw mein Dubta ja raha hun
sharabor tufan mein tund lahron ki surat
nashile samay
ek aahang ke sath hachkole khata hua
main kisi soch ki rau mein bahta chala ja raha hun
mera dil, meri jaan:
donon hi mausum hain, us tamawwuj se
jo meri nas nas mein paiham machalta hua
KHun ke zer-o-bam ki kahani sunata hua
bah raha hai
ki jis ke har ek lams ki
lazzaton, zaiqon mein
tumhaara koi KHwab hai
jaise mahtab hai
tum to mere badan ka koi para-e-KHak ho
tum koi ghair ho?
meri ham-zad!
hum kashti-e-zist ke baadban ki tanaben hain do
ek tum, ek main
jin ka mohtaj hai baadban-e-nafas
ye zamin, ye zaman
mere hi ahd ki dastan
hum se aabaad daem bisat-e-jahan
apne aangan ki phulon-bhari kiyariyan
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 22)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.